MOHSIN E INSANIYAT Part–01 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Saturday, October 29, 2022

MOHSIN E INSANIYAT Part–01

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
     *■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                          
                  ★ *Part–01_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*    
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek Jhalak :- Ye Chehra ek Jhoote Aadmi Ka Chehra nahi ho Sakta _," ( Abdullah bin Salam Rz)*

*❀__ Duniya me Azeem Kaarname Anjam dene Wali Hastiya'n ( Khususab Ambiya Alaihissalam) Hamesha Gair Mamooli Darje ki Shakhsiyat se Araasta hoti Hai'n, Seerat Paak Ke Mut'ale ki ek Garz ye bhi hai k Mohsine insaniyat Ki Shakhsiyat Ko Samjha jaye, Kisi bhi Shakhsiyat Ko Samajhne me Uski Wajahat bahut badi madad deti hai, Aadmi ka Sarapa uske Badan ki Saakht uske A'aza ka Tanasub Khaas uske zahan aur Akhlaqi aur Jazbaati martabe ka Aa'ina daar hota hai, Khususan chehra Ek esa Qirtaas ( Kagaz) hota hai Jis per insaani Kirdaar aur Kaarnamo ki saari Dastaan likhi hoti hai aur us per ek Nazar daalte hi Hum kisi ke Muqam ka Tasavvur Kar sakte hai'n _,"*

*❀_ Hum baad ke Logo'n Ki Ye Kotaahi E Qismat hai k Duniya ki Sabse badi Shakhsiyat ka Rooe Zeba hamare Saamne nahi hai aur na hum Aalame Waq'a me Sar Ki Aa'nkho se Ziyarat ka Sharf haasil kar sakte hai'n, Hum Huzoor ﷺ ke Husn v Jamaal ki Jo kuchh bhi jhalak pa sakte hai'n wo Huzoor ﷺ ke Paigaam aur Kaarname ke Aa'ine hi me Pa Sakte Hai'n _,"*

*❀_ Huzoor ﷺ ki koi Haqeeqi Shabiya ya Tasveer mojood nahi hai, Khud hi Huzoor ﷺ ne Ummat Ko isse baaz rakha, Kyu'nki Tasveer ka Fitna Shirk se door nahi reh sakta, Huzoor ﷺ ki Agar koi Tasveer mojood hoti to na jane uske Saath kya kya Karamaat aur Aijaaz mansoob ho jate, aur Uske Aijaaz ke liye Kesi kesi Rasme aur Taqreebe Namudaar ho chuki hoti balki Ba'ied na tha k uski Paristish hone lagti _,"*

*"_ Jaari Agle Part me _,"*         

*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ , 75* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot