𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 21 أكتوبر 2022

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

*DIGITAL TASWEER AUR DEENEE MAJLIS KA VIDEO BANANA*

*AAJ KA SAWAL No.3007*

Deenee majlis, islahee
bayaanaat, khatame bukhaaree shareeph wagairah mein
dikh raha hai ki masjidon ke andar log video recording karte hai
aur jab unhen mana kiya jaata hai, to woh kahate hain ki shekhul islaam muftee muhammad taqee usmaanee saahib ne digital tasweer ke baare mein tahqeeq farmai hai aur kaha hai ki yah haraam tasweer ke zumre mein nahin aata hai. kya hazarat vaala ke tahqeeq ko yah samajhana saheeh hai ki ise masjidon, deenee ijtima'at aur islahee bayanat mein riwaj ho aur ise ek baqaidah mashgala banaana chaahie?
masjidon aur deenee majlison mein muvee aur veediyo banaane kee sharee haisiyat wazih karen.?

*JAWAB*

حامدا و مصلیا مسلما

Digital tasweer ke baare mein Hazrat Mufti Muhammad Taqi usmaanee saahab D.B. ke mauquf ka matalab hai ki us par tasweer ke ahkaam jaari nahin honge, lekin iska yah matlab lena hargeez durust nahin ke digital taswir ke istimal me agar shar'an degar mafasid-kharabiyan paae jaae tab hi uska istimaal durust hoga, lekin aisee surat me mein agar che us par tasweer ke ahkaam jaaree na kie gae hon, lekin in mafasid ke paaye jaane se  iska istimaal mamno'o-mana qarar diya jaaega. Sirf is baat ka sahaara lete huve ke us par tasweer ke ahkaam jaaree nahin hote, uska istimaal ke mafasid ko nazar andaaz karna durust nahin hai.
masaajid aur deenee ijtima'at par digital camera ke zariye taswee aur video banane par bhi bahot se mafasid hai lihaza in mafasid ki Bina par aise ijtima'at par  tasweeren aur video lena durust nahin hai, vo mafasid darje zail hain :
1. Ye masjid ke adab aur ehteraam aur taqaddus ke khilaaf hai.

2- is jaisi taqreebat par video aur tasveeren banaakar log haqeeqatan tasveer khinchne aur dekhne ko jaaiz samajhne lag jaaegenge, is tarah unke dilon se tasweer ki hurmat Nikal jaaegi, jo ki na-jaaiz hai

3. Deeni taqreebaat par is tarah tasveeren aur video banaane se aam log na-jaaiz taqreebat par bhi usko jaaiz samajhne lag jaaenge.

4. Deeni taqreebat ki video aur tasveeren dekhne ki aad mein galat aur fahash qism ke kamon par mushtamil taqreebat ko dekhne ki raah khul jaaegi, jo ki jaaiz nahin hai.

5. islaamee taqreebat ke video aur tasweer ke istimal se unke na-jaaiz istimal ka hosla afzaaee hoga, jo durust nahin hai. (Makhooz tabwaib: 8, 1444)

6. Riyakari, shohrat  naamo-namood ke  jazbaat bhi paida hone ka imkan hai, jis se Deeni majlees ka shawab zaa'ii ho jaaega.

7. Digatal tasweer me koi mafasid na bhi ho to tasweer ki qabahat aesee dil se nikalti ja rahi hai ke jo tasweer kagaz par chhapi hui haraam hai use bhi aaj kal baz deendar kahe janewale logon ne istemal karna shurooa kar diya hai jis ka mushahada kiya ja sakta hai.

Lihaza in mafasid ke paaye jaane ki vajah se islaamee taqreebat par mazkoorah tareeqe se tasweer aur video banaane se ijtinab karna laazim hai.

DARUL IFTA JAMIA DARUL ULOOM KARANCHI AHQAR KE NO.6 AUR 7 KE IZAFE KE SATH

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

https://T.me/IslamicMsgOfficial

*डिजिटल तस्वीर और दीनी मज्लिस का वीडियो बनाना*

*आज का सवाल नंबर ३००७*

दीनी मज्लिस, इस्लाही
बयानात, खतमे बुखारी शरीफ वगैरह में दिख रहा है की मस्जिदों के अन्दर लोग वीडियो रिकॉर्डिंग करते है,
ओर जब उन्हें मना किया जाता है तो वह कहते हैं की शेखुल इस्लाम मुफ्ती मुहम्मद तक़ी उस्मानी साहिब ने डिजिटल तस्वीर के बारे में तहक़ीक़ फ़रमाई है और कहा है की यह हराम तस्वीर के हुक्म में नहीं आता है।
क्या हज़रत वाला की तहक़ीक़ को यह समझना सहीह है की इसे मस्जिदोँ, दीनी इज्तिमा'त और इस्लाही बयानात में रिवाज हो और इसे एक बाक़ायदा मश्ग़ला बनाना चाहिए?

मस्जिदों और दीनी मजलिसों में मूवी और वीडियो बनाने की शरई हैसियत वाज़िह करे।

*जवाब*

حامدا و مصلیا مسلما

डिजिटल तस्वीर के बारे में हज़रत मुफ़्ती मुहम्मद तक़ी उस्मानी साहब दा ब. के मौक़ूफ़ का मतलब है की उस पर तस्वीर के अहकाम जारी नहीं होंगे,

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot