◐
┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l
┴✭┴══════════════┴✭┴
*✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
*posт ղo- 48*
◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•· Khoobsurat Aurat Konsi He ,?*
┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*"─❥ Yaad rakhiye ! Khoobsurat Nazar aane ka Bada sabab ” ita’at ” he, Shohar Kï farmabardari aur ita’at to Bivi Kï fitrat me Shaami hona chahiye ,Kyuki Shohar hi to he Jo uske liye Din Raat ek karta he aur musalsal Apne aapko thakaata he ,uska Haq to isse kahi bada hua he, Lihaza khair aur bhalaai ke KAAMO me uski ita’at aur Tabedaari farz ( Zaroori ) he ,*
╟──────❥
*"─❥ isliye Hazrat Aayesha Raziyallahu Anhuma Aurto’n ko Apne Shoharo ke bare me nasihat karti thi aur sakht lehje me farmati thi,*
*”_ Ey Aurto’n Kï jama’at ! Agar tum jaan leti k tum per tumhare Shoharo ke kya Huqooq he’n to tum unke Qadmo ke gubaar ko Apne rukhsaar se saaf karti ,”*
╟──────❥
*"─❥ Bivi Kï khoobsurati ka Raaz Shohar ki ita’at me poshida he ,Jitni wo Shohar Kï farmabardari karegi utni hi zyada khoobsurat lagegi,*
╟──────❥
*"─❥ isliye k Aurat ishq v naaz ke teero se les hone ke bavjood bhi Mard Kï qadawar shakhsiyat ke saamne bebas he ,aur uski kamzori zaahir he aur Bilaakhir Jald hi majboor ho kar use Mard Kï tabedaari aur ita’at ke liye Sar jhuksna hoga, Adaab v Akhlaq se araasta ho kar Aainda har qism Kï nafarmani se parhez karna hoga,*
╟──────❥
*─❥"_ Lihaza Musalman Bivi is baat ko achchhi tarah samajh le k Shohar Kï nigaah me haqeeqi Khoobsurati uski ita’at he, isliye Shohar Kï khoob ita’at kare, Agar Nek Bivi ne Apne andar Ek Yahi Sifat paida kar li to wo Powder lagaye bager kisi Beauty Parlour me jaye bager aur kisi makeup ke bager Sabse Zyada Khoobsurat Bivi Shumar hogi _,"*
╟──────❥
*╟❥ Next–49 , Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
*📓 Tohfa E Dulhan , 311,*
╒═══════════════╛
◐┄┅════❖════┅┄◐
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, October 28, 2022
TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 48
Tags
# TOHFA- E- DULHAN
TOHFA- E- DULHAN
Tags:
TOHFA- E- DULHAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot