Aqaaid Part - 24 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 4 نوفمبر 2022

Aqaaid Part - 24

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 24 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

*​✾ Marne Ke Baad Dobaara Zinda Hona​*

​❧ Ham Musalmaanon ka aqeeda hai ke marne ke baad dobaara zinda uthhaaya jaana haq hai aur Allah Ta'ala marne ke baad dobaara zinda karne par Qaadir hai, Qayaamat ke din Allah Ta'ala jism ki boseeda haddiyon aur mitti mein mile huwe rezon ko har jagah se jama karega, chaahe woh aag mein jala ho ya paani mein dooba ho ya jaanwar ke pet mein hazm ho gaya ho, jism ke tamaam ajza ko jama karega aur jo roohein duniya mein jismon ke andar theen, un ko jismon mein daal kar dobaara zinda karega.

*​❧ Qur‘aan Mein Hai:* Aur Kuffaar-e-Makkah kaha karte the ke jab ham mar jaayenge aur mitti aur haddiyaan ban kar reh jaayenge to kya hamein dobaara zinda kiya jaayega? Aur kya hamaare pehle guzre huwe baap daadon ko bhi? Keh do ke yaqeenan sab agle aur pichhle log ek muta'ayyan din ke taye shuda waqt par zaroor ikatthhe kiye jaayenge.

📓[Sura-e-Waaqiah: 47-50]

​❧ Marne ke baad dobaara zinda hona haq hai, jo shakhs bhi marne ke baad dobaara zinda hone ka inkaar kare ya us mein shak kare, to woh momin nahin hai.

*[[..Next - 25, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Download App
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot