✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 25 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Hazrat Muhammad ﷺ aakhri Nabi*
❧ Sab se aakhri Nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain. Aap ﷺ ke baad qayaamat tak koi Nabi nahin aayega, Aap ﷺ ne khud farmaaya: *“Anaa khaatamun nabiyeena laa nabiyya ba’adee"*
*❧ Tarjama:* Main aakhri Nabi hoon, mere baad koi Nabi nahin aayega.
📓[Abu Daawood: 4252]
❧ Lihaaza jo shakhs bhi Aap ﷺ ke baad apne Nabi hone ka daawa kare woh jhoota hai aur jo us ko Nabi maane woh kaafir hai. Huzoor ﷺ ke zamaane se le kar is waqt tak bahot se logon ne apne Nabi hone ka daawa kiya, woh sab ke sab jhoote the, Hazrat Isa Alaihissalam qayaamat ke qareeb aasmaan se utreinge, lekin woh bhi hamaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki shari‘at par amal kareinge aur apne nubuwwat ke mansab par qaaim rehte huwe Huzoor ﷺ ki ta‘aleemaat ke mutaabiq is ummat ki islaah farmaayeinge.
📓[Bukhaari: 7121, Tafseer Ibne Kaseer: 3/527; Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 137, 138 Meem]
❧ Aap ﷺ ke baad kisi Nabi ke aane ki zaroorat nahin rahi, is liye ke Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ke zariye Deen ko har tareeqe se kaamil wa mukammal kar diya.
*❧ Qur'aan mein hai :* Aaj main ne tumhaare liye tumhaare Deen ko mukammal kar diya. Tum par apni nemat poori kardi, aur tumhaare liye Islaam ko Deen ke taur par (Hamesha ke liye) pasand kar liya.
📓[Sura-e-Maaidah: 3]
*[[..Next - 26, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
السبت، 5 نوفمبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot