✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 26 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma*
❧ “Sahaaba’’ sahaabi ki jama hai, jis shakhs ne imaan ki haalat mein Huzoor ﷺ se mulaaqaat ki ho aur imaan hi ki haalat mein us ki wafaat hui ho, us ko “Sahaaba’’ kehte hain.
📓[Umdatul Qaari: 24/229]
❧ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma bahot saare hain, un ke martabe aapas mein kam ziyaada hain, lekin tamaam insaanon mein ambiya Alaihissalam ke baad Huzoor ﷺ ke sahaaba ka martaba hai, tamaam Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma kaamil imaan waale, muttaqi, parhezgaar aur a'ala darje ke wali the. Tamaam sahaaba mein 4 Hazraat sab se afzal hain, pehle Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Umar Faarooq RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Usmaan RaziyAllahu Anhu phir Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu.
❧ Hamaare Nabi ﷺ ki shareeat ka ilm hamein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ke zariye se haasil huwa, agar darmiyaan mein Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma ka waasta na hota, to ham ko na Qur'aane Kareem ka ilm hota aur na Aap ﷺ ki Hadees ka ilm hota, Allah Ta'ala ne sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke liye apni raza wa khushnoodi ka elaan farmaaya hai.
*❧ Qur'aan Mein Hai:* Allah in hi se raazi ho gaya aur woh Allah se raazi ho gaye.
📓[Sura-e-Baiyyinah: 8]
❧ Kisi bhi sahaabi ko bura bhala kehna jaaiz nahin, jo sahaaba par tanqeed kare aur un ki shaan mein gustaakhi kare woh bada gunahgaar aur faasiq hai.
📓[Musannaf Abdur Razzaaq: 20710; Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 161-163 Meem]
*[[..Next - 27, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 6 نوفمبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot