✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 28 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Mo’ajizah ✾*
❧ Allah Ta'ala apne paigambaron se kabhi aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir kara deta hai, jin par Allah Ta'ala ke siwa kisi ko qudrat nahin hoti, doosre log is ke karne se aajiz hote hain, aisi baaton ko "Mo’ajizah" kehte hain.
📓[Sharhul Aqaaidin Nasafiyyah: 134 Meem]
❧ Paigambaron se aadat ke khilaaf aisi baatein zaahir karaane ka maqsad logon ko samjhaana hota hai ke yeh Allah Ta'ala ke bheje huwe paigambar aur us ke makhsoos bande hain, paigambaron ke mo’ajizaat haq hain, un par imaan lana zaroori hai. Allah Ta'ala ne bahot se paigambaron ko un ki risaalat ki taaeed ke liye mukhtalif qism ke mo'ajize ata farmaaye,
❧ Hazrat Moosa Alaihissalam ke asa (laathhi) ka saanp ban jaana,
❧ Hazrat Isa Alaihissalam ka Allah Ta'ala ke hukm se murdon ko zinda karna,
❧ Hazrat Daawood Alaihissalam ke haath mein lohe ka narm hojaana.
*[[..Next - 28, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
Monday, November 7, 2022
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot