✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 29 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Karaamat ✾*
❧ Allah Ta’ala apne nek bandon ki izzat badhaane ke liye kabhi kabhi un ke zariye aisi baatein zaahir karaadeta hai jo aadat ke khilaaf aur mushkil hoti hain, jinhein aam log nahin kar sakte, jaise paani par chalna, hawa mein udna wagaira in baaton ko “Karaamat” kehte hain.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/670]
*❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:*
*(1)* Nek bandon aur Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai.
📓[Sharhul Aqeedatut Tahaawiyah Abdullah: 92/1]
*(2)* Wali se karaamat ka zahoor Allah ke ahkaam ki mukammal paabandi aur Huzoor ﷺ ki kaamil ittiba aur pairwi ki barkat se hota hai.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673]
*[[..Next - 30, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
Tuesday, November 8, 2022
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot