✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 30 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Karaamat ✾*
*❧ Karaamat ke baare mein chand zaroori aqaaid:*
*(3)* Wali chaahe khuda ka kitna hi pyaara ho jaaye magar jab tak hosh-o-hawaas baaqi ho, woh shareeat ka paaband hai, namaaz, rozah aur koi ibaadat us se maaf nahin ho jaati aur gunah ki baatein us ke liye durust nahin hoteen.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah: 49/10]
*(4)* Aisa shakhs jo shareeat ke khilaaf kaam kare jaise namaaz na padhe ya daadhi mundaaye wagaira woh hargiz wali nahin ho sakta, chaahe us se kitni hi baatein aadat ke khilaaf zaahir hoti hon, chaahe woh hawa mein udne lage, paani par chalne lage aur tarah tarah ke ajeeb kaam kare, aadat ke khilaaf aisi baatein ya to jaadu hai ya shaitaani harkatein.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/673]
❧ Ham musalmaanon ka aqeeda hai ke Auliya Allah se karaamaton ka zaahir hona haq hai aur us par hamaara imaan hai.
*[[..Next - 31, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأربعاء، 9 نوفمبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot