✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 31 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Kufr wa Shirk ✾*
*❧ Kufr :* Kufr ke maani hai na maanna, Islaam mein jin cheezon par imaan laana zaroori hai, in mein se kisi ek ko bhi na maanna “Kufr” hai.
📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Abdullah Bin Abdir Rahman; 38/16]
❧ Jaise koi shakhs Allah Ta‘ala ki zaat ko na maane ya us ki sifaat mein se kisi sifat ka inkaar kare, ya farishton ka inkaar kare ya pichhle ambiya Alaihissalam par naazil hone waali kitaabon ke baare mein yeh aqeeda rakhe ke woh Allah Ta'ala ki kitaabein nahin theen ya Qur’aan Majeed ke kisi mazmoon ka inkaar kare ya kisi Nabi ko na maane ya paigambaron ko jhoota kahe aur un ki taraf buri baaton ko mansoob kare ya taqdeer ka inkaar kare ya aakhirat ke din, qayaamat aur Hashr-o-Nashr ka inkaar kare maslan yoon kahe ke marne ke baad dobaara zinda nahin kiya jaayega ya Allah Ta’ala ko aasmaan wa zameen ke fana karne ki qudrat nahin hai ya hisaab na hoga ya Jannat wa Jahannam ka zikr sirf logon ko khush karne aur daraane ke liye kiya gaya hai, warna haqeeqat kuchh nahin hai ya Qur'aane Kareem ke qat’ee ahkaam mein se kisi hukm ka inkaar kare maslan namaaz, rozah ya zakaat wagaira ka inkaar kare ya Rasoolullah ﷺ ki bataai hui kisi baat ko jhutlaaye, to tamaam soorton mein woh kaafir ho jaayega.
*[[..Next - 32, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
Thursday, November 10, 2022
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot