Aqaaid Part - 32 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 11 نوفمبر 2022

Aqaaid Part - 32

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 32 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

           *​✾ ​Kufr Wa Shirk ✾*

*​❧ Shirk :* Shirk ke maani hain shareek karna, Allah ki zaat wa sifaat mein kisi ko shareek karna “Shirk” hai.

*​❧ Allah Ta’ala ki zaat mein Shirk:* Allah Ta'ala ki zaat mein shirk ka matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ke alaawa kisi aur ko bhi khuda maanna jaise Isaai Allah Ta‘ala ko khuda maanne ke saath saath hazrat Isa Alaihissalam ko khuda ka beta aur Hazrat Maryam Alaihassalam ko khuda ki biwi maante hain, to woh 3 khuda maanne ki wajah se mushrik huwe,

❧ Aatish parast (aag ki pooja karne waale) 2 khuda maante hain: Ek bhalaai ka paida karne waala, doosra buraai ka paida karne waala, jis ki wajah se woh mushrik huwe.

❧ Aur but parast chaand, sooraj, aag, paani, darakht, patthar jaisi bahot si cheezon ko khuda maan kar mushrik huwe.

*[[..Next - 33, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot