Aqaaid Part - 37 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 16 نوفمبر 2022

Aqaaid Part - 37

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 37 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

        *​✾ ​Alaamaate Sugra ✾*

*❧ Alaamaate Sugra yeh hain:*

(14) Sachche aadmi ko jhoota aur jhoote ko sachcha samajha jaana.
(15) Sharm wa haya aur dilon se amaanat wa dayaanat ka uthh jaana.
(16) Zulm wa rishwat ka badh jaana.
(17) Deen ka ilm duniya haasil karne ki niyyat se seekhna.
(18) Kaafiron ka chaaron taraf se musalmaanon par hamla karna.
(19) Darindon ka aadmiyon se baat karna.
(20) Waqt mein barkat na hona, yahaan tak ke saal ka maheene ki tarah aur maheene ka hafte ki tarah aur hafte ka din ki tarah aur din ka ghante ki tarah guzar jaana.

📓[Ibne Maaja: 4036 ; Sho'abul Imaan: 5276 ; Sunanul Waaridati Fi Li Fitni: 428 ; Tirmizi: 2211 ; Abu Daawood: 4297 ; Musnade Ahmad: 11792 ; Tirmizi : 2332]

❧ Mazkoora alaamaton ke alaawa aur alaamatein bhi hain jo is tarah pai dar pai zaahir hongi jaise jaise tasbeeh ka dora toot kar us ke daane yake baad deegre girne lagte hain, in saari alaamaton ka zaahir hona haq aur yaqeeni hai.

*[[..Next - 38, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot