Aqaaid Part - 39 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 18 نوفمبر 2022

Aqaaid Part - 39

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 39 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

              *​✾  ​Barzakh  ✾*

❧ Allah Ta'ala ne duniya aur aakhirat ke darmiyaan ek aur jahaan aur aalam basaaya hai, jo marne ke baad se qayaamat qaaim hone tak rahega, us jahaan ko “Barzakh” kehte hain aur us ko “Aalame Qabr” kehte hain, Qabr se yahi aalam muraad hota hai.

📓[Sharhul Aqeedatit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/523]

❧ Insaan jab mar jaata hai, agar dafan kiya jaaye, to dafan hone ke baad, warna jis haal mein ho, us ke paas 2 nihaayat haibatnaak farishte aate hain, jin ka rang siyaah aur aankhein neeli hoti hain, jin mein se ek ko “Munkar” aur doosre ko “Nakeer” kehte hain.

📓[Tirmizi: 1071]

❧ “Munkar wa Nakeer” murde se sawaal karte hain ke tera Rab kaun hai? Tera Deen kya hai? Hazrat Muhammad ﷺ ke baare mein poochhte hain ke yeh shakhs kaun hain? Agar murda imaan waala ho, to thheek jawaab deta hai “Mera Rab Allah hai, Mera Deen islaam hai aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain”.

*[[..Next - 40, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot