✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 45 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Shafa'at ✾*
❧ Shafa'at ke maani hain sifaarish karna. Qayaamat ke din nek logon ka bure logon ke haq mein Allah Ta‘ala ki ijaazat se sifaarish karna haq hai, Allah Ta'ala Ambiya, Auliya, Ulma aur Shohda wagaira ko gunahgaaron ke baare mein sifaarish karne ki ijaazat deinge; Bagair ijaazat ke koi sifaarish na kar sakega.
📓[Sharhul Aqeedadit Tahaawiyah Li Saaleh Bin Abdil Azeez: 1/205-206]
❧ Huzoor ﷺ ne farmaaya: Meri ummat mein se baaz log ek badi jamaat ki sifaarish kareinge, baaz ek qabeele ki, baaz 40 aadmiyon ki aur koi ek aadmi ki sifaarish karega.
📓[Tirmizi: 2440]
❧ Musalmaanon ke chhote bachche jo baalig hone se pehle mar jaate hain, woh bhi apne maan baap ki sifaarish kareinge aur Qur'aane Kareem aur nek aamaal bhi baaz logon ki sifaarish kareinge, kufr-o-shirk ke alaawa tamaam gunaahon ki sifaarish hogi, sab se pehle maidaane Hashr mein Huzoor ﷺ shafa'at kareinge, us ke baad hi dosre hazraat shafa'at kareinge, Aap ﷺ apni ummat ke liye mutaaddid baar shafa’at kareinge aur Allah Ta'ala bakhashte raheinge, yahaan tak ke har us shakhs ko jis ne sachche dil se kalima-e-tayyibah "Laa ilaaha illallaahu muhammadur rasoolullah" kaha aur usi par us ki maut aayi, to us ko bhi Dozakh se nikaal kar Jannat mein daakhil kar diya jaayega.
📓[Tirmizi: 2441]
*[[..Next - 46, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
https://T.me/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
الخميس، 24 نوفمبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot