Aqaaid Part - 48 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 27 نوفمبر 2022

Aqaaid Part - 48

✯✰✮

       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
       *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮

                *✧ Aqaaid ✧*

               *❆  Part - 48 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

             *​✾  ​Jahannam  ✾*

❧ Jahannam nihaayat hi takleef ki jagah hai, woh kaafiron aur mushrikon ke liye tayyaar ki gai hai, us mein har tarah ke azaab honge, aag ke makaan aur bistar honge, aag ki hathkadiyaan aur zanjeerein hongi, bade bade saanp aur bichchhu honge, jo jahannamiyon ko daste raheinge, khaane ke liye zaqqoom (Jahannam ka ek kaantedaar darakht) hoga, peene ke liye peep aur khaulta huwa pani hoga, jo aanton ko tukde tukde kar dega, Jahannam ki dahekti hui aag hogi, jo un ko jalaati rahegi, aag se itne bade bade shole utheinge, jo aalishaan mahal ke baraabar honge, jab bhi jahannamiyon ke badan ki khaal jal kar raakh hojaayegi, to us ki jagah doosri khaal badal di jaayegi, har ghadi Allah Ta’ala ka azaab un ke liye sakht hota jaayega, azaab ka ek lamha umr bhar ke aish wa raahat ko bhulaadega, na un ka azaab halka hoga aur na un ko koi mohlat di jaayegi, woh maut maangeinge to un ko maut na aayegi, hamesha hamesh ke liye woh dozakh mein raheinge.

❧ Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: Aur jin logon ne kufr ki rawish apnaali hai, un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ka kaam tamaam kiya jaayega ke woh mar hi jaaein aur na un se dozakh ka azaab halka kiya jaayega. Har naashukre kaafir ko ham aisi hi saza dete hain.

📓 [Sura-e-Faatir: 36]

*[[..Next - 49, Soon In sha Allah..]]*

*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot