🌸🍀🌸
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☝🏻_कार गुज़ारियां (दावत तबलीग ) _☝🏻*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*✧_पोस्ट -16_✧*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
*❈_Jama'at me Mashwara hua, 28 Aadmiyo'n me se Sirf 7 Aadmiyo'n ne us Aatish Fasha'n ilaaqe me Dakhil hone per himmat ke saath Aamaadgi Zaahir ki, Halaat bahut naazuk they, maut Moo'nh failaye saamne khadi thi, zinda bachne ki koi ummeed nahi thi, Aksar log "Apne Haatho Apne Aapko Halakat me mat daalo" (Aayat) padh padh kar jane se mana karte they magar in 7 Aadmiyo'n ne himmat kar hi Li,*
*"_ iski ittela Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Sahab Ko di, Maulana ne in Hazraat ki himmat Afzaa'i ki aur inke liye Duao'n Khususan Surah Yaseen aur uske baad Khusoosi Dua ka Ahatmam kiya, Ek Sahab Jo is Jama'at ke Saathi they Apne Tassuraat is tarah Zaahir karte hai'n _,"*
*★_ Hamari Jama'at 18 March 1951 ko Juma ki Namaz padh kar Raaypur se Rawana hui, Raaypur walo ne Ashk baar Aa'nkho aur Duao'n ke Saath rukhsat kiya, Jama'at khuda ka zikr karte hue rawana hui aur Jamna ke Shaahi Raaste se Mashriqi Punjab me Dakhil ho gayi aur Khizrabaad me pehla padaav kiya,*
*★_ Sikkho ne is Ajeeb v Gareeb Jama'at ko dekha to Hairat me pad gaye aur gaiz v gazab me aa gaye, Jis Masjid me humne Qayaam kiya tha usko Charo taraf se ghair liya aur Shor v Hungama karne lage, is Soorate Haal ko dekh kar Khuda ke naheef v nazaar Bande khuda per Yaqeen v Aitmaad ke pekar ban gaye aur Apni Shahadat ke intezar me ghadiya'n ginne lage, Ameere Jama'at ne Khuda ka naam le kar Un Logo'n ko mukhatab kar ke Taqreer karni Shuru kar di, Jama'at ke baqi'a log Salatul Hajaat padh kar Zikr v Dua me mashgool ho gaye,*
✦─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*★• 🔜 17. इंशा अल्लाह तआला*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*📃 एडमिन (हक़ का दाई) की डायरी_,*
*☞_अल्लाह के पैगाम को दुनिया तक पहुंचाना और अपने पर मेहनत करना हमारे फ़राइज़ में शामिल है*
*⚀_ तालिब ए दुआ _⚀*,
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☆
Post Top Ad
Your Ad Spot
الخميس، 24 نوفمبر 2022
DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-16
Tags
# DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N
DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot