JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝39 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, November 2, 2022

JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝39

✾⊙✿

  *⚀_вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм _,⚀*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

    *👀_ JAB AA'NKH KHULEGI _👀*

                  *▒ ℘AЯT↝39 ▒*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

*⊙:➻Maal Ka Nafa Kharch Karne mai hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Maal to esi Bekaar cheez hai k jab tak usko kharch na karo nafa nahi degi , Dher laga laga kar rakhte raho ,Kuchh faayda nahi,*

*✪○ Haaji Abdul Sattaar Sahab ne Apni kitaab mai ek Waqi'a likha hai k Ek Seth tha ,Apne khazane ki Sayr karne ke liye gaya, Dair ho gayi to WO Nazar nahi aaya ,Uske Naukro Chaakro ne darwaza band kar diya aur chale gaye ,Seth andar hi tadap tadap kar mar gaya, Agle Din darwaza khola to Seth ji mare pade hai'n , Halanki Khazana mojood tha , Kyunki WO khane pine aur bhook pyaas bujhane ka kaam nahi deta ,haa'n usko kharch kar ke khane pine ka samaan haasil kiya ja sakta hai,*

*✪○ Garz ye k ye maal aur Khazane Kisi kaam ke nahi hai'n jab tak tum inko kharch na karo isse  fayda nahi uthaya ja sakta, Lekin humne maamla ulta kar liya , Hamara Jitna talluq Maal se hai utna Ahlo Ayaal se bhi nahi, Maa'n Beti ki ladaai aur Baap Bete ki ladaai, Bhai Bhai ki ladaai Kis cheez per hai ? Paise per hai !*

*✪○ Ye Paisa Sab cheezo per gaalib aa gaya hai, Hona to ye chahiye tha k Paise ko in per kharch kiya jata, Lekin Aaj ho ye raha hai k ( is Paise ki vajah se ) in Rishto ko is per kharch ( khatm ) kiya ja raha hai, ( Talluq tode ja rahe Hai'n ) aur Maal ke liye Ahlo Ayaal ke liye Apna Deen bhi qurban kiya ja raha hai,*

*✪_"__Allah Ta'ala hume Sahi samajh ata farmaye aur Allah Ta'ala hume ESE A'amaal e Saleha ki Tofeeq ataa farmaye Jo naza ke waqt bhi hamare kaam aaye, Qabr mai bhi hume kaam de ,Hashr mai bhi kaam de ,( Aameen ),*                  

*🗂️_ Jab Aa'nkh Khulegi _58,(Hazrat Yusuf Ludhiyanvi Shaheed Reh.)*
          •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
https://T.me/IslamicMsgOfficial ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵🎗✨🎗⚵

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot