JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝58 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الاثنين، 21 نوفمبر 2022

JAB AA'NKH KHULEGI ℘AЯT↝58

✾⊙✿

  *⚀_вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм _,⚀*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

    *👀_ JAB AA'NKH KHULEGI _👀*

                  *▒ ℘AЯT↝58 ▒*
                   ▁▁▂▃︽▃▂▁▁

*⊙:➻ Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Ki Dua_,*
┏───────────────────┯ ✿         
*✪○_ Ummul Momineen  Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha ye Dua kar rahi thi :- "_ Ya Allah ! Mujhe mere Shohar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zariye se ,Mere Walid Abu Sufiyan Raziyallahu Anhu ke zariye se aur Mere Bhai Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke zariye se Nafa dijiye, ( Matlab Ye hai k k Allah inki zindgi lambi kare aur inka Saya mere Sar per qaa'im rakhe )*

*✪"_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Tu Allah Ta'ala se esi cheez maang rahi hai aur un mi'aado ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinki ta'ayn ki ja chuki hai aur un rizqo ke bare mai maang rahi hai Jinko taqseem kar ke diya ja chuka hai aur un Saanso ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinko gin kar Shumaar kar liya gaya hai, ( k itni saanse fala Shakhs ke liye ), Allah Ta'ala in A'ajaal aur infaas ko na muakhkhar karenge ( Yani Jo Tay ho chuka hai Din, Ghadi, Saanse, Rizq unko na taalenge ) na muqaddam karenge,*
*"_Agar Tune Allah Ta'ala se ye Sawal kiya hota k Allah Ta'ala Tujhe Dozakh se panaah ataa farmaye aur Qabr ke Azaab se panaah ataa farmaye to ye Afzal hota aur Behtar hota _,"*
*®_ Sahih Muslim - 2/338 ,*

*✪○ Yani Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unse farmaya k maangne ki cheez to ye thi magar Tu Kuchh aur maang rahi hai, Allah Ta'ala ne har ek ke liye Rizq ,Saanse Muqarrar ki hui hai'n ,Har ek ki mi'aade muqarrar hai'n , Isliye Apne aur Doosro ke liye Dozakh se Panaah maangi jaye aur Jannat ke Husool ka Sawal kiya jaye ,Ye Hamare Haq mai Behtar hai ,*

*🗂️_ Jab Aa'nkh Khulegi _91,(Hazrat Yusuf Ludhiyanvi Shaheed Reh.)*
          •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵🎗✨🎗⚵

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot