MOHSIN E INSANIYAT Part–10 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الاثنين، 7 نوفمبر 2022

MOHSIN E INSANIYAT Part–10

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
     *■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                          
                  ★ *Part–10_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*    
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥"_ Libaas :-*
*❀"_ Aadmi Ki Shakhsiyat Ka Waaze izhaar Uske Libaas se bhi hota hai, Uski Waza qata, Qasr v Tol Range maiyaar, Shafa'i aur Ese hi Mukhtalif pehlu bata dete hai'n k Kisi Libaas me mabloos Shakhsiyat Kis Zahan v Kirdaar se Araasta hai, Nabi Akram ﷺ ke Libaas ke bare me Huzoor ﷺ ke Rafqa ne Jo Malumaat di hai'n Wo badi Had tak Huzoor ﷺ Ke Zoq Ko numaya kar deti hai'n _,"*

*❀_ Huzoor ﷺ ne Libaas Ke maamle me Dar Haqeeqat is Aayat ki Amali Sharah Pesh farmayi hai :- ( Tarjuma) Ey Aadam Ki Aulaad ! Humne Tumhare Satar dhaa'nkne Wala aur Tumhe Zeenat dene wala Libaas Tumhare Liye Muqarrar kiya hai, aur Libaas E Taqwa Behatreen Libaas hai _," ( A'araaf - 26)*

*❀_ So Huzoor ﷺ ka Libaas Saatir tha, Zeenat Bakhsh tha aur Taqwa wala tha, isme zarurat ka bhi Lihaaz tha, Akhlaqi Usoolo ki pabandi ka mazhar bhi tha, aur Zoqe Saleem ka Tarjuman bhi, Kibr v Riya se door tha,  aur Huzoor ﷺ ko thaat baat se rehna pasand na tha ,*

*❀_ Farmaya - Mai'n to bas Khuda ka Ek Banda hu'n aur Bando ki tarah Libaas pehanta hu'n _," Resham deba aur Hareer Ko Mardo'n ke liye Aapne Haraam qaraar diya, Ek baar Tohfe me Aayi hui Reshmi Qaba pehni aur fir foran iztraab ke saath utaar di _," ( Mishkaat)*     

*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 81* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot