MOHSIN E INSANIYAT Part–12 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, November 9, 2022

MOHSIN E INSANIYAT Part–12

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
     *■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                          
                  ★ *Part–12_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*    
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Umr Bhar Tehbabd ( lungi ) istemal farmaya, Jise Naaf se Zara niche baa'ndhte aur nisf Saaq tak ( Takhno se Zara Ou'ncha ) saamne ka hissa Qadre Zyada jhuka rehta_,"*

*★"_ Pajama ( Salwar) dekha to pasand kiya, Aap ﷺ ke Sahabi pehante they, Ek baar khud khareed farmaya ( ikhtilaaf hai k pehna ya nahi ) aur wo Aapke Tarka me mojood tha, iski kharidari ka qissa Dilchasp hai, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ko saath liye hue Huzoor ﷺ Bazaar Gaye aur Chaar dirham per pajama khareeda, Bazaar me jins ko tolne ke liye ek khaas Wizaan muqarrar tha,  Wazan karane Gaye to usse kaha k ise jhukta hua tolo, Wizaan kehne laga k ye Alfaaz maine kisi aur se kabhi nahi sune _,"*

*★"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Tavajjo dilayi, Tum Apne Nabi Paak ko pehchante nahi ? Wo haath choomne ko bada to Aap ﷺ ne roka k ye Ajmiyo ka ( yani Gair Islami) Tareeqa hai, bahar haal wazan karaya aur pajama khareed kar le chale, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne bade Tajjub se puchha k Aap ise pehnenge ? Tajjub galiban is Bina per hua hoga k ek to Mamool me esi numaya Tabdeeli Ajeeb lagi, doosre pajama Ahle faaras ka pehnawa tha, aur Tashbiha se Huzoor ﷺ ko ijtinab tha ( Hala'nki doosre Tamadduno ke Achhe Ajza ko Huzoor ﷺ Qubool farmate they),*
*"_ Aapne jawab diya - Haa'n pehnunga, Safar me bhi, Hazar me bhi, Din ko bhi Raat ko bhi, Kyu'nki mujhe Hifze Satar ka hukm diya hai aur isse zyada Satar Posh libaas koi nahi _,"*
*®_ Al Muwahib -1/336)"*  

*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 82,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot