MOHSIN E INSANIYAT Part–21 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 18 نوفمبر 2022

MOHSIN E INSANIYAT Part–21

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
     *■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                          
                  ★ *Part–21_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*    
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Baat Karte hue baar baar Aasman ki taraf dekhte, Guftgu ke dauraan me kisi baat per zor dene ke liye Tek se uth kar Seedhe bethte aur khaas Jumlo ko baar baar dohrate, Hazireen ko kisi baat se darate to Takallum ke saath Saath zameen per haath maarte, Baat Ki Wazahat ke liye Haatho aur Ungliyo'n ke ishraat se madad lete, Maslan- Do Cheezo ka ikatttha hona Waaze karne ke liye Shahadat ki ungli aur beech ki ungli ko mila kar dikhate _,"*

*❀_ Kabhi dono Haatho ki Ungliyo'n ko baaham digar Aar paar kar ke Mazbooti ya Jami'at ka mafhoom numaya karte, Kisi cheez ya Simt me ishara karna hota to poora haath harkat me laate, kabhi Tek lagaye hue Aham Mamlaat per baat karte to seedhe haath ko ulte haath ki pusht per rakh kar Ungliyo'n me Ungliya'n daal lete,*

*❀_ Tajjub ke moqo per Hatheli ko ulat dete, kabhi seedhe haath ki Hatheli ulte haath ke Anguthe ke andruni hisse per maarte, kabhi sar hilaate aur ho'nto'n ko Daa'nto se dabate, Kabhi haath ko raan per maarte,*

*❀_ Huzoor ﷺ ke Kalaam ka Jaha'n Adabi maiyaar bahut buland tha, Waha'n Aam faham Saadgi bhi thi aur fir Kamaal ye k kabhi koi ghatiya aur Bazaru lafz istemal me nahi liya aur na kabhi masnu'i tarz ki zuban pasand farmayi, kehna chahiye k Huzoor ﷺ ne Apni Dawat aur mission ki zaruriyaat se khud Apni ek Zuban paida farmayi thi, Ek usloob bayan tha,*

*❀_ Ek martaba Banu Fahad ke log aaye to Guftgu hoti rahi, jiske dauraan me aane walo ne Tajjub se kaha - Ey Allah ke Nabi ! Hum Aap ek hi Maa'n Baap ki Aulaad hai'n, Ek hi muqaam me parwarish pate hai'n, Fir ye kya baat hai k Aap esi Arbi me baat karte hai'n k Jis ( ki latafato ) ko humme se aksar nahi samajh sakte ? Farmaya aur khoob farmaya, "Meri Lisaani Tarbiyat khud Allah Az v Jal ne farmayi hai, aur mere Zoq E Adab ko khushtar bana diya, Neez maine Qabila Sa'ad ki Fasahat Aamooz Fiza me Parwarish payi hai _,"*  

*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 88,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Download App

https://www.youtube.com/IslamicMsgOfficial
Subscribe Our YouTube Channel
                            ❦❦❦❦
https://telegram.me/IslamicMsgofficial
⇧⇧ Pichhle Sabhi msgs Ke Liye Link Per Jaye,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot