◐
┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l
┴✭┴══════════════┴✭┴
*✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
*posт ղo- 52*
◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•· Namaz Kï Ahmiyat ,-1,* ┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*─❥●•· Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,*
*”_ Agar Aurat Paanch waqt Kï Namaz padhe, Ramzan ke roze rakhe, apni izzat aabru ko bachaye rakhe ( yani paak daaman rahe ) aur Apne Shohar Kï ( nek kaamo me ) ita’at kare to ( usko Akhtyar he k ) jis darwaze se chahe Jannat me dakhil ho jaye ,”*
*$___ ( Mishkaat Sharif )*
╟──────❥
*─❥●•· Aurte’n agar Namaz ka ahatmam kar le aur Azaan sunte hi sab kaamo ko chhor de ,Jo Aurte’n ye sochti he’n k abhi to Azaan hui he ye kaam khatm ho jaye fir Namaz padh lengi to kaam to khatm hote nahi aur Namaz der se padhne ka gunaah alag se hota he aur waqt me barkat khatm ho jati he ,*
╟──────❥
*─❥●•· Isliye Aap ghar ke andar Musalle Kï jagah banaye aur usi ko Apne liye Masjid samjhe ,Bada ghar he to ek kamre ko bhi Masjid bana le ,Waha per Tasbeeh bhi ho, Guthliya’n bhi ho (zikr ke liye ) aur Quran Majeed bhi qareeb ho aur Parda bhi taki asaani ke saath Namaz padh sako ,aur us jagah bethne Kï aadat daale ,*
╟──────❥
*─❥●•· Amuman Aurte’n apni Mushkilaat aur Musibato Kï vajah se kitni pareshan rehti he’n Halanki Allah Ta’ala ne Hume Namaz jesi Azeem ibaadat ata farmayi he, lihaza Farz Namaz achchhi tarah ada karke Allah Ta’ala se maange, Fir Hume Taveez aur Dam KIYE hue paani ke liye pareshan nahi hona padega, balki har farz Namaz padh kar Dua maang kar khud paani per Dam kar sakti he ,*
╟──────❥
*─❥●•· Dulhan Shadi wale Din Namaz padhne me Sharm mehsoos karti he, Halanki us Din zyada Namaz ka ahatmam karna chahiye k Aaj nayi Zindgi ke safar ka Pehla Din he ,*
╟──────❥
*╟❥ Next–53, Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
*📓 Tohfa E Dulhan , 333,*
╒═══════════════╛
https://T.me/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
Post Top Ad
Your Ad Spot
Tuesday, November 1, 2022
TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 52
Tags
# TOHFA- E- DULHAN
TOHFA- E- DULHAN
Tags:
TOHFA- E- DULHAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot