TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 53 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأربعاء، 2 نوفمبر 2022

TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 53


┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l 
┴✭┴══════════════┴✭┴
   *✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
                *posт ղo- 53*         
      ◐┄┅════❖════┅┄◐
        *✿●•·Namaz Kï Ahmiyat ,-2,*        ┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*─❥●•· Baaz martaba Ayyam ( Haiz ) se paak ho Jane ke baad Jaldi Namaz shuru nahi karti, ek do waqt taal deti he’n, iska Shara’i Hukm ye he k Paaki Nazar aane ke baad ek waqt bhi Namaz qaza karna jaa’iz nahi aur yahi Hukm roze ka he ,*

╟──────❥

*─❥●•·Baaz Aurte’n Bachche Kï paidaish ke baad chahe 30 din baad hi paak ho gayi ho fir bhi 40 din tak Namaz nahi padhti, Hala'nki Aurat jab bhi paak ho jaye ( Chahe 40 roz se kam dino me hi paak hui to Gusl karke Namaz padhna zaroori he aur agar na padh saki gaflat aur Susti kotahi Kï to uski qaza wajib he ),*

╟──────❥

*─❥●•· Baaz Aurte’n Ye kotahi karti he'n k un namazo Kï qaza ada nahi karti Jo har mahine Ayyam se paak hone ke baad Gusl der se karne Kï vajah se chhoot jati he ,*

╟──────❥

*─❥●•· Baaz Aurte’n Khud to Namaz Kï pabandi karti he lekin Saat saal ya isse badi umar ke Bachcho ko na to namaz sikhati he na hi padhwati he aur usi tarah Shohar ya Bade Bachcho ko Masjid me bhejne Kï koshish nahi karti, Iske liye Rozana ghar me ” Fazaile Aamaal ” aur ” Riyazul Saleheen ” Kï taleem kare Jisse ghar ke tamaam log beth kar sune, is Amal se Allah Ta’ala Kï khususi rehmate aur Barkate naazil Ho'ngi, Ghar ka har fard Namazi ban jayega aur Tilawat v Zikr Kï fiza GHARO me qaayam hogi ,*

╟──────❥
*╟❥ Next–54 , Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
      *📓 Tohfa E Dulhan , 334,*
╒═══════════════╛
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot