◐
┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l
┴✭┴══════════════┴✭┴
*✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
*posт ղo- 63*
◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•·Haath Ka Hunar__"*
┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*─❥"_ Saliqa mand Ladkiya'n Apna Qeemti Waqt Khail Kood aur Sair Sapate me nahi guzaarti, balki unko jo Waqt milta hai usme Seena Pirona, Pakana, Bunna, Kaatna aur Doosre Haath ke Hunar Seekhti hai'n, Bachpan me Agar koi Hunar Seekh liya jaye To Wo Zindgi bhar kaam aata hai aur Hunar Jaanne wala Kabhi kisi ka Mohtaaj bhi nahi hota,*
╟──────❥
*─❥"_Hunar hi to insaan ke Aade waqt Ka Saathi hai, Gurbat aur Tanhdasti ke Waqt insaan ko Apne Hunar se bahut madad Haasil hoti hai,*
╟──────❥
*─❥"_ Afsos Aaj kal Aksar Jowan Ladki mobile aur doosre fizool kaamo me Apna waqt zaaya karti hai'n, Mobile Zarurat ke mutabiq istemal kiya ja sakta hai magar Waqt guzaarne ke liye Hargiz istemal na kare'n,*
╟──────❥
*─❥"_ Qur'an Kareem v Deeni kitabo ko padhne me waqt guzare'n, Ghar ke Kaam Kaaj Seekhne me waqt guzare'n, Seena Pirona, Khana Pakana, Kada'i Buna'i, Haath ke digar Hunar Seekhne me waqt guzare'n, Ghar ke Kaam Kaaj me Apni Maa'n Behno ka haath bataye'n,*
╟──────❥
*─❥"_ Sahabiyaat Raziyallahu Anhuma Hunar aur Dast kaari se waqif thi'n, Hazrat Sauda Raziyallahu Anha Taaif se aane wale Chamdo ka pakana aur rangna bahut Achchhi tarah jaanti thi'n, isliye Doosri Bibiyo'n ki banisbat unki maali Haalat bhi bahut Achchhi thi,*
╟──────❥
*─❥"_ Hazrat Fatima binte Shaiba Raziyallahu Anha bahut Achha Seena Pirona aur bunna jaanti thi'n, Hazrat Safiya Raziyallahu Anha khana pakane me maahir thi'n,*
╟──────❥
*─❥"_ Ka'i Aurte'n kapde Bunti thi'n, isi tarah aur doosri Kai khwateen charkha kaatna bahut Achchha jaanti thi'n, Chunache Junge Khaibar me kai Khawateen ne Charkha kaat kar Musalmano ki madad ki thi,*
╟──────❥
*╟❥ Next–64, Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
*📓 Tohfa E Dulhan , 390,*
╒═══════════════╛
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
Post Top Ad
Your Ad Spot
السبت، 12 نوفمبر 2022
TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 63
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot