◐
┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l
┴✭┴══════════════┴✭┴
*✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
*posт ղo- 77*
◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•·Mukhtalif Aurto'n Ki Duae'n Apne Shohar ki Rawangi ke waqt -2*
┍━━━━━━━━━━━━━━━┙
*─❥"_Chothi ne Kaha - Mai'n Shohar Ke Jane ke Baad Apne ghar ki Safaa'i aur Shohar aur Bachcho ke Liye khana Pakane Ki Tayyari me lag jati hu'n, isliye k Mard Ye pasand nahi karte ? Gande ghar Ki Taraf Shaam Ko Waapas lote, Jaha'n Cheeze be Tarteeb rakhi hui ho, Bawarchi Khana Ganda sa hua ho, Bartan dhule hue na ho, Bachche Saaf Suthre na ho, Na mard Esa khana pasand karte hai'n Jo Jaldi Jaldi me kachcha reh gaya ho ya Masala na buuna hua ho Ya Achchhi tarah Saaf kar ke na pakaya gaya ho, Jo pet me ja kar maida ko kharab kare aur Hazam na ho _,"*
╟──────❥
*─❥"_ Paa'nchvi ne kaha- Jab Wo ghar se chale jate hai'n to Ji chahta hai - Kaash Ek aur Unka Bosa le leti taki uski Lazzat mere Ho'nto'n per unke aane tak baqi rehti _,"*
╟──────❥
*─❥"_ Chhati ne kaha- Pehle unko Salam kehte hue Rawana karti hu'n aur jab Wo ye Dua padh kar bahar nikalte hai'n, Dua padhte hai'n to Mai'n Unko kehti hu'n-hamare bare me Allah se Darna aur Hume Sirf Halaal ( Luqma ) hi khilana _,"*
╟──────❥
*─❥"_ Yani Karobaar me mulazmat me koi Esa kaam na karna Jisse Rozi Makrooh ya Haraam ho jaye, Maslan- Soodi karobaar, Rishwat lena, Jhoot bolkar, Grahak ko dhoka de kar Sauda bechna aur Mulazmat ka jo muqarrar Waqt hai usme Kotahi karna vagera Vagera, inse bachna, Azaan hote hi Dukaan band kar ke khud bhi Namaz ke liye Jana aur Mulazimo aur Dosto'n ko bhi Namaz ki Targeeb dena_,"*
╟──────❥
*─❥"_ Aur Kabhi Mai'n usko Samjhati hu'n k Musalman Sirf kamane ke liye Duniya me nahi aaya, Lihaza hume Deen ka kaam bhi zaroor karna chahiye, isliye ghar aane se pehle kuchh waqt Masjid me zaroor lagana aur usme Apne Dosto'n ko jama kar ke is baat ki fikr karna k Sab log kese poore poore Deen per Amal karne aur usko Failane wale ban jaye'n, Kahi'n esa na ho k Aapka poora Din Duniya ke Taqazo ko poora karne me lag jaye _,"*
╟──────❥
*╟❥ Next–78, Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
*📓 Tohfa E Dulhan , 426,*
╒═══════════════╛
*✍ Islamic Msg Official ,*
◐┄┅════❖════┅┄◐
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 27 نوفمبر 2022
TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 77
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot