*HALAALE KI HAQEEQAT*
*⭕AAJ KA SAWAL No.3038⭕*
QURAAN ME HALAALE KI IJAZAT KYUN HAI? IS ME KYA HIKMAT AUR MASLIHAT HAI?
*🔵JAWAB🔵*
حامدا و مصلیا مسلما
AGAR FITRATE INSANI KO MADDE NAZAR RAKHTE HUE, HALAALA KO ISLAM DUSHMANI KO BHOOL KAR GAUR KIYA JAAYE TO YE BAAT KHUL KAR SAAMNE AATI HAI KI KOI BHI GAIRAT MAND INSAAN IS BAAT KE LIYE RAZI NAHI HOGA KI USKI BIWI JISNE KISI GAIR MARD KE SATH NIKAH KIYA HO AUR USKO TALAAQ HONE KE BAD USSE DOBARAH NIKAH KARE. JAB YE HAQEEQAT HAI TO PHIR QURAAN E HAKEEM MEIN NIKAH-HALALA KA ZIKR KYUN AAYA HAI?
ISKA JAWAB YAH HAI KE HALAALA FARZ,WAJIB YA MUSTAHAB NAHI AUR QURAAN MAJEED NE MUSALMANO KO NIKAH E HALAALA KI HAQEEQAT ME NA IJAAZAT MARHAMMAT FARMAYI HAI, AUR NA HI ISKI TARGEEB DILAYI HAI, BALKE BATAUR-E-TAMBIH KAHA KE "AE INSAN, DO TALAQ DENE KE BAAD TEESRI TALAQ DENE SE BAAZ AAJA" AUR THANDE DIMAG SE GAUR O FIKR KAR SHAYAD MAIL-MILAP KI KOI RAAH NIKAL AAYE, AUR MUSTAQBIL ME TUJHE APNE IS JAZBATI AUR ANJAAM PAR GAUR NA KARNE WALE FAISLE PAR AFSOS KA HATH NA MALNA PADE, KYUN KE TEEN TALAAQ SE NA SIRF MIYAN-BIWI KI ZINDAGI AJIRAN BAN JAATI HAI, BALKE BACCHON KA MUSTAQBIL (FUTURE) ANDHERA HO JAANE KA BHI QAWI IMKAN PAIDA HO JAATA HAI. AUR BURE ASARAAT MUAASHARE PAR PADTE HAIN. JAB YE TAMAM KHATRE MARD KE SAMNE RAHENGE TO BILKUL MUMKIN HAI KE SHAUHAR KA TALAQ KA IRAADA ZAROOR BADAL JAYEGA.
ISI LIYE QURAAN MAJID NE DO TALAAQ KI TABEER IKHTIYAR KEE اَلطَّلَاقُ مَرَّتٰنِ۪ "TALAQ DO HAI ", TALAQ TEEN HAI NAHI KAHA KYUN KE TEEN TALAQ DENEE HEE NAHI HAI.
DENE WALE MARD KO KAHA KE AGAR TUNE TEESRI TALAQ DENE ME BHI JALD BAAZI KI TO YE HIMMAT NA SIRF NA-MUNASIB HAI, BALKE ISKE BAAD DONO KI ZINDAGIYON PAR ISKE BURE ASARAAT MURATTAB HONGE. CHUNKE DO TALAAQ DENE KE BAAD DOBARAH IZDAWAJI ZINDAGI SHURU KARNE KE IMKAANAT (CHANCES) HAIN, LEKIN TEESRI TALAQ KE BAAD TAMAM IMKANAT QAREEB NA MUMKIN HO JAYENGE. TALAQ DI HUI KHATOON SHAUHAR KE LIYE HALAL NAHI RAHEGI. FAURAN UNKA NIKAH KHATM HO JAYEGA AUR UNME ALAHIDGI HO JAYEGI AUR YE MARHALA TAY HONE KE BAD MIYAN-BIWI NADAMAT WA AFSOS KA IZHAAR KARNE KE BAWAJOOD DAUBARAH IZDIWAJI ZINDAGI GUZARNA CHAHEN TO BHI GUZAR NAHI SAKENGE, TA-WAQT E KE BIWI DOOSRE SHAUHAR SE NIKAH KARE.
IS LIYE QURAAN MAJID NE TALAAQ KA ISTEMAAL KARNE SE PEHLE EK DOOSRE KI TABIYAT ME MUWAFIAQT NA HONE AUR AAPASI NAFRAT KO DOOR KARNE KE LIYE QAREEBI RISHTEDARON AUR MUSLIM MUAASHARE KE SAMJHDAR LOGON SE SULAH - MASHWARAH LENE PAR ZOR DIYA HAI, TAA’KE NIKAH KE TALLUQ KO HATTAL-IMKAN
QAAYIM WA BARQARAR RAKHHA JA SAKE. KHAATOON SE ZYADA YE MARD AADMI PAR LAAZIM HAI WO IKHTILAFI AUR JHAGDE KE HAALAT ME BHI JALD BAAZI SE KAAM NA LE, BALKE SABR WA BARDASHT KA MUZAHARA KARTE HUE IZDIWAJI ZINDAGI KO BACHANE KI JITNI HO SAKE KOSHISH KARE.
ISI LIYE QURAAN MAJID NE KAHA KE IN TAMAM USOOL KO NAZAR ANDAAZ KAR KE AUR NIKAH E HALAALA SE DARAA E JANE KE BAWAJOOD JIS NE JALD BAAZI ME AA KAR TEEN TALAQ DE DEE, DAR-HAQEEQAT US NE ALLAH TAALA KE QANOON KI DHAJJIYAN UDAKAR APNE AAP PAR ZULM KIYA AUR HALAKAT WA NAKAAMI APNE LIYE PASAND KAR LI. CHUNKE ISNE TEEN TALAQ KA ISTEMAAL KARTE HUE RUJOO (WAPASI) KE DARWAZE APNE AAP PAR BANDH KAR LIYE, DAR HAQEEQAT YE WO MANAA KIYA HUA MAQAM THA JAHAN PAR DAKHIL HO KAR SHAUHAR NE APNE AUR APNE AHAL-O-AYAL KE LIYE KHATARNAK WA HAULNAK ZINDAGI KA INTIKHAB KIYA HAI. IS LIYE TALAQ KO ISLAM NE INTIHAYI BURA AMAL QARAR DIYA HAI. HAZRAT SAIYYEDANA MUHARIB R.A. SE MARWI HAI KE HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA “ALLAH TAALA NE JIN CHEEZON KO HALAAL KIYA HAI UN ME ALLAH TAALA KE NAZDEEK TALAQ SAB SE ZYADAH NA-PASANDIDAH HAI.
📗(ABU DAWOOD
AGAR DOOSRE SHAUHAR KE SATH KHATOON KI ZINDAGI KHUSH-HAAL GUZAR RAHI HAI AUR UN MEIN KOI NA-ITTIFAQI NAHI HAI, TO AB ZINDAGI BHAR IS KHATOON KA PEHLE SHAUHAR KI TARAF LAUTNA NA-MUMKIN HO JAYEGA. ISI LIYE QURAAN MAJEED NE SHAUHAR KO DO TALAAQ DENE KE BAAD NIKAH-HALALA KA ZIKR KAR KE TAMBIH FARMAYI HAI TAA’KE WO TEESRI TALAAQ DENE KE JAZBAATI FAISLE SE BAAZ AA JAYE, AUR APNI AUR APNE AHL-O-AYAL KI ZINDAGI KO AJEERAN HONE SE BACHANE ME KAMYAB HO JAYE.
NIKAH-HALALA KI HAQEEQAT WA ROOH YE HAI KE TALAQ SHUDAH KHATOON KA NIKAH JAB DOOSRE SAKHSH SE HO JATA HAI AUR MAAN LO IS KHATOON KE RISHTE DOOSRE SHAUHAR KE SATH BHI NA NIBH SAKE AUR KISI WAJAH SE UN ME IKHTILAF HO JAYE, AUR DOOSRA SHAUHAR BHI US KHATOON KO TALAQ DE KAR APNE NIKAH SE KHARIJ KAR DE, TAB PEHLE SHAUHAR KE LIYE HALAL HAI KE WO IS KHATOON SE NIKAH KARE, BA-SHART E KE WO KHATOON PEHLE SHAUHAR SE NIKAH KARNE KE LIYE RAAZI HO, ISKO NIKAH-HALALA KEHTE HAIN.
YE BAAT YAAD RAHE KE DOOSRE SHAUHAR SE TALAAQ PANE WALI KHATOON PAR LAAZIM NAHI HAI KE WO PEHLE SHAUHAR HI SE NIKAH KARE, BALKE USE MUKAMMAL IKHTIYAR HAI KE WOH JIS SE CHAHE NIKAH KARE. AGAR WOH KISI SE BHI NIKAH NA KARNA CHAHE TAB BHI USE POORA IKHTIYAR HASIL HAI. KAUNSI AISI GAIRAT-MAND KHATOON HOGI JO US SHAUHAR SE DOBARAH NIKAH KARNE KE LIYE HAAN KAR DE JISKI WAJAH SE USE DOOSRE SAKHSH SE NIKAH KARNA PADA THA, YE INTIHAYI GAIR-FITREE AUR NA-QABIL-E-QABOOL BAAT HAI KE KOI GAIRAT-MAND KHATOON IS BAAT KE LIYE RAAZI HO JAYE KE WO TAKLEEF AUR PARESHANI KI ZINDAGI GUZARNE K BAWAJOOD PEHLE SHAUHAR SE NIKAH KAR LE JISKI WAJH SE USE ZAHNI, QALBI, JISMANI, WA ROOHANI, AZIYYATON SE GUZARNA PADA THA.
NIKAAH-HALALA KI DOOSRI SOORAT YE HO SHAKTI HAI KE AGAR KHATOON KI MUSALSAL NA-FARMANIYON KE SABAB SHOHAR NE TALAAQ DE DI HO PHIR WO TALAQ-SHUDAH KATOON KO DOOSRE SHAUHAR SE NIKAH KARNE KE BAAD YE EHSAAS HUWA KE QALBI, ZAHNI,AUR ROOHANI TAUR PAR KHUSHGAWAR ZINDAGI JO USE PEHLE SHAUHAR KE SATH MAYASSAR THI AUR SUKOON WA ITMINAN HASIL THA WOH DOOSRE SHAUHAR KE SATH MUMKIN NAHI YA DOOSRA SHAUHAR PEHLE SHAUHAR SE ACHCHHA HAI TO WOH USE KE SATH ZINDAGI GUZARE YA NIKAH KE BAAD DOOSRE SHAUHAR KA INTIQAL HO JAYE, YA WOH SOHBAT-HAM BISTARI KI TAQAT KHO BAITHA HO, AISE HAALAAT ME WO KHULA’A LE KAR (TALAQ MAANG) KAR PEHLE SHAUHAR SE NIKAH KARNA CHAH RAHI HAI AUR PEHLA SHAUHAR BHI RAAZI HAI TO ISLAM NE UN HAALAAT ME IN DONO KO DOBARAH NIKAH KARNE KA EK AUR MAUQA INAYAT FARMAYA HAI, JISE NIKAAH-HALALA KEHTE HAIN.IS ME KOI ISHKAL NAHI HAI.JO SHARTIYA NIKAH KARTE HAIN YA NIKAAH-HALALA KE NAAM PAR HAMESHA NIKAH KI NIYYAT KE BAGAIR EK DIN YA RAT KE LIYE NIKAH KARTE HAIN, YE ISLAMI TAALEEM NAHI HAI, AGAR UN ME NIYYAT AUR TAREEQA GALAT HAI TO WOH KHUD US KE ZIMMEDAR HAIN.
AAKHIR ME ALLAH TAALA SE DUAA HAI HAME QURAAN AUR SAHIB-E-QURAAN SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI TAALIMAT KE MIZAAJ KO SAMJHNE AUR IS KE MUTABIQ ZINDAGI GUZARNE KI TAUFIQ ATA FARMAYE.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
*हलाले की हकीकत*
*⭕आज का सवाल नंबर ३०३८⭕*
कुरान में हलाले की इजाज़त क्यों है ? इस में क्या हिकमत और मसलीहत है ?
*🔵जवाब🔵*
حامدا و مصلیا مسلما
अगर फ़ितरते इंसानी को मद्देनज़र रखते हुए हलाला का इस्लाम दुश्मनी भूलकर गौर किया जाए तो ये बात खुल कर सामने आती है की कोई भी गैरतमंद इंसान इस बात के लिए राज़ी नहीं होगा की उसकी बिवी जो किसी गैर मर्द के साथ निकाह किया हो और उसका तलाक होने के बाद उससे दोबारह निकाह करे। जब ये हकीकत है तो फिर क़ुरान हकीम में निकाह-हलाला का ज़िक्र क्यों आया है ?
इसका जवाब यह है के हलाला फ़र्ज़, वाजिब या मुस्तहब नहीं और क़ुरान मजीद ने मुसलमानो को निकाह ए हलाला की हकीकत में न इज़ाज़त मरहम्मत फ़रमाई है, और न ही इसकी तरग़ीब दिलाई है।
बलके, बतौर-ए-तम्बीह कहा के ‘"ऐ इंसान, दो तलाक देने के बाद तीसरी तलाक देने से बाज़ आजा’" और ठन्डे दिमाग से गौर व फ़िक्र कर, शायद मेल-मिलाप की कोई राह निकल आए, और मुस्तक़बिल में तुजे अपने इस जज़बाती और अन्जाम पर गौर न करनेवाले फैसले पर अफ़सोस का हाथ न मलने पड़े, क्यों के तीन तलाक से न सिर्फ मियाँ-बीवी की ज़िन्दगी अजीरन बन जाती है बल्कि बच्चों के मुस्तक़बिल- फीचर में भी अँधेरा हो जाने के भी कवि इमकान पैदा हो जाते हैं। और बुरे असरात मुआशरे पर पडते हैं।
जब ये तमाम खतरे मर्द के सामने रहेंगे तो बिलकुल मुमकिन है के शोहर का इरादा ए तलाक ज़रूर बदल जाएगा।
ईसीलिये क़ुरान मजीद ने दो तलाक की ताबीर इख़्तियार की اَلطَّلَاقُ مَرَّتٰنِ۪ तलाक दो है, तलाक तीन है नहीं कहा, क्यों के तीन तलाक देनी ही नहीं है।
देने वाले मर्द को कहा के अगर तूने तीसरी तलक देने में भी जल्दबाज़ी की तो ये हिम्मत न सिर्फ नामुनासिब हैं बलके इसके बाद दोनों की ज़िन्दगियों पर इसके बुरे असरात मुरत्तब होंगे।
चुनके दो तलाक देने के बाद दोबारह इज़दवाजी ज़िन्दगी शुरू करने का इमकानात- चांसेस हैं, लेकिन तीसरी तलाक के बाद तमाम इमकानात क़रीब नामुमकिन हो जाएंगे।
तलाक़-शुदा ख़ातून शोहर के लिए हलाल नहीं रहेगी। फ़ौरन उनका निकाह ख़त्म हो जायेगा और उनमे अलाहिदगी हो जाएगी और ये मरहला तय होने के बाद मियां-बीवी नदामत व पशेमानी का इज़हार करने के बावजूद दोबारह इज़दवाजी ज़िन्दगी गुज़ारना चाहें तो भी गुज़ार नहीं सकेंगे ता-वक़्त ये के बिवी दुसरे शोहर से निकाह करे।
इस लिए क़ुरान मजीद ने तलाक का इस्तेमाल करने से पहले एक दुसरे की तबीअत में मुवाफिकत न होने और आपसी नफ़रत को दूर करने के लिए क़रीबी रिश्तेदारो और मुस्लिम मुआशरे के समझदार लोगों से सुलह व मश्वरह लेने पर ज़ोर दिया है ताकि निकाह के ताल्लुक़ को हत्तल-इमकान
काईम व बर्करार रख्हा जा सके।
खातून से ज़्यादा ये मर्द आदमी पर लाज़िम है वो इख़्तिलाफ़ी और झगडे के हालत में भी जल्दबाज़ी से काम न ले बलके, सब्र व बर्दाश्त का मुज़ाहरा करते हुए इज़दवाजी ज़िन्दगी को बचाने की जितनी हो सके कोशिश करे।
ईसी लिए क़ुरान मजीद ने कहा के इन तमाम उसूल को नज़र अन्दाज़ करके और निकाह ए हलाला से डराए जाने के बावजूद जिसने जल्दबाज़ी में आकर तीन तलाक दे दी, दर-हकीकत उसने अल्लाह के कानून की धज्जियाँ उड़ाकर अपने आप पर ज़ुल्म किया और हलाकत व नाकामी अपने लिए पसन्द कर ली।
चुके इसने तीन तलाक का इस्तेमाल करते हुए रुज़ू’अ-वापसी के दरवाज़े अपने आप पर बंद कर लिये, दर हकीकत ये वो मना किये हुआ मक़ाम था जहाँ पर दाखिल हो कर शोहर ने अपने और अपने अहल-व-अयाल के लिए ख़तरनाक़ व हौलनाक ज़िन्दगी का इंतिख़ाब किया है।
इसलिए तलाक को इस्लाम ने इंतिहाई बुरा अमल क़रार दिया है।
हज़रात सैय्यदना मुहारीब रदी. से मरवी है के हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया “अल्लाह तआला ने जिन चीज़ों को हलाल किया है उन में अल्लाह तआला के नज़दीक तलाक सब से ज़्यादा ना-पसन्दीदाह है।
📗(अबू दाऊद
अगर दुसरे शोहर के साथ ख़ातून की ज़िन्दगी खुश-हाल गुज़र रही है और उनमें कोई नाइत्तिफ़ाक़ी नहीं है तो अब ज़िन्दगी भर इस ख़ातून का पहले शोहर की तरफ़ लोटना होना नामुमकिन हो जाएगा। इसी लिए क़ुरान मजीद ने शोहर को दो तलाक देने के बाद निकाह-हलाला का ज़िक्र करके तम्बीह फ़रमाई है ता’के वो तीसरी तलाक देने के जज़्बाती फैसले से बाज़ आ जाए, और अपनी और अपने अहल-व-आयल की ज़िन्दगी को अजीरन होने से बचाने में क़ामयाब हो जाए।
निकाह-हलाला की हकीकत व रूह ये है क तलाक शुदा ख़ातून का निकाह जब दुसरे सख़्श से हो जाता है और मान लो इस ख़ातून के रिश्ते दुसरे शोहर के साथ भी न नीभ सके और किसी वजह से उन में इख्तिलाफ हो जाए, और दुसरा शोहर भी उस ख़ातून को तलाक दे कर अपने निकाह से खरिज कर दे, तब पहले शोहर के लिए हलाल है के वो इस ख़ातून से निकाह करे, बा-शर्त ये के वो ख़ातून पहले शोहर से निकाह करने के लिए राज़ी हॉ, इसको निकाह-हलाला कहते हैं।
ये बात याद रहे के दुसरे शोहर से तलाक पाने वाली ख़ातून पर लाज़िम नहीं है के वो पहले शोहर ही से निकाह करे, बलके उसे मुकम्मल इख़्तियार है के वह जिससे चाहे निकाह करे। अगर वह किसी से भी निकाह न करना चाहे तब भी उसे पूरा इख़्तियार हासिल है।
कौनसी ऐसी गैरत-मन्द ख़ातून होगी जो उस शोहर से दोबारह निकाह करने के लिए हाँ कर दे जिसकी वजह से उसे दुसरे सख़्श से निकाह करना पड़ा था, ये इंतिहाई गैर-फिटरी और नाक़ाबिल-ए-क़ुबूल बात है के कोई गैरत-मन्द ख़ातून इस बात के लिए राज़ी हो जाए के वो तकलीफ और परेशानी की ज़िन्दगी गुजारने क बावजूद पहले शोहर से निकाह कर ले जिसकी वजह से उसे ज़हनि, क़ल्बी, जिस्मानी, व रूहानी, अज़िय्यतों से गुज़ारना पडा था।
निकाह-हलाला की दूसरी सूरत ये हो सकती है के अगर ख़ातून की मुसलसल नाफ़रमानियो के सबब शोहर ने तलाक दे दी हो फिर वह तलाक़-शुदा खातून को दुसरे शोहर से निकाह करने के बाद ये एह्सास हुवा के क़ल्बी, ज़हनि, ओर रूहानी तौर पर ख़ुशगवार ज़िन्दगी जो उसे पहले शोहर के साथ मयस्सर थी और सुकून व इत्मिनान हासिल था वह दुसरे शोहर के साथ मुमकिन नहीं या दूसरा शोहर पहले शोहर से अच्छा है, तो वह उसे के साथ ज़िन्दगी गुज़ारे या निकाह के बाद दुसरे शोहर का इन्तिक़ाल हो जाये या वह सोहबत-हम बिस्तरी की ताक़त खो बैठा हो, ऐसे हालत में वो खुला ले कर-तलाक मांग कर पहले शोहर से निकाह करना चाह रही है और पहला शोहर भी राज़ी है तो इस्लाम ने उन हालत में इन दोनों को दोबारह निकाह करने का एक और मौक़ा इनायत फ़रमाया है जिसे निकाह-हलाला कहते है।
इस में कोई ईश्काल नहीं है।
जो शर्तिया निकाह करते है या निकाह-हलाला के नाम पर हमेशा निकाह की निय्यत के बग़ैर एक दिन या रात के लिए निकाह करते है ये इस्लामी तालीम नहीं है, अगर उन में निय्यत और तरीका गलत है तो वह खुद उस के ज़िम्मेदार है।
आखीर में अल्लाह तआला से दुआ है हमें क़ुरान और साहिब-ए-क़ुरआन सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की तालीमात के मिजाज को समझने और इस के मुताबिक़ ज़िन्दगी गुजारने की तौफीक अता फरमाए ।
आमीन।
و الله اعلم بالصواب
✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.
Post Top Ad
Your Ad Spot
Friday, December 9, 2022
AAJ KA SAWAL No.3038
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot