✯✰✮
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*Bismillahirrahmanirrahim*
✮〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰✮
*✧ Aqaaid ✧*
*❆ Part - 60 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
*✾ Sawaal Jawaab ✾*
*❧ Sawaal :* Qur'aan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari kis ne li hai?
*❧ Jawaab :* Quraan-e-Majeed ki hifaazat ki zimmedaari Allah Ta'ala ne le rakhi hai.
📓[Sura-e-Hijr: 9]
*❧ Sawaal :* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab kaun si hai?
*❧ Jawaab :* Aasmaani kitaabon mein sab se afzal kitaab Qur'aan-e-Majeed hai.
📓[Tafseer-e-Sa'adi: 1/234]
*❧ Sawaal :* Ab qayaamat tak kis kitaab par amal karna zaroori hai?
*❧ Jawaab :* Ab qayaamat tak sirf Qur'aan-e-Majeed par amal karna zaroori hai.
📓[Sahih Muslim: 6378]
*❧ Sawaal :* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein kya Imaan rakhna chaahiye?
*❧ Jawaab :* Allah Ta'ala ki kitaabon aur saheefon ke baare mein yeh Imaan rakhna chaahiye ke tamaam kitaabein aur saheefe Allah Ta'ala ki taraf se naazil huwe hain.
📓[Sura-e-Baqara: 4]
*[[..Next - 61, Soon In sha Allah..]]*
*✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❅〰❅❅〰〰〰〰〰〰❅❅〰❅
Post Top Ad
Your Ad Spot
الجمعة، 9 ديسمبر 2022
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot