🌸🍀🌸
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☝🏻_ KAAR GUZARIYA'N _☝🏻*
*(DAWAT TABLEEG KI)*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*✧_ PART-31 _✧*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
*❈_Islam me Khwateen Ka Kirdaar :-*
*★_ Duniya me Aurte'n Zyada hai'n Mard thode hai'n aur Aurto'n ka kaam to Mardo'n se bhi zyada hai, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne 1/4 Hissa islam ka ummat ko ata farmaya hai, Saare islam ke chaar hisse karo to Teen hisse Ek Laakh Chobees Hazar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se mila aur Ek Chothayi hissa Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se mila hai ,*
*★_ Hamare Chaar Khulfa E Rashideen me se Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Ali Raziyallahu Anhu ko Huzoor ﷺ ne Musalman kiya, Umar Raziyallahu Anhu ko unki Behan Fatima Raziyallahu Anha ne Musalman kiya aur Usman Raziyallahu Anhu ko unki Foofi Sauda binte Qureza Raziyallahu Anha ne Musalman kiya,*
*★_ Chaar Khulfa me se Do Aurto'n ke haatho Musalman hue, Saari Duniya ke insaan Allah ke Hukmo per aaye'n, Huzoor ﷺ ke Tareeqe per aaye'n, Duniya me Aurte'n Zyada hai'n Mard Kam hai'n, isliye Aurto'n me zyada Mehnat ki zarurat hai,*
*★_ Ek Buzurg ka Qaul hai k jab halaat bigadte hai'n to ek bada tabqa Yu'n kehta hai k Bhai ab kuchh nahi ho sakta, Jese Halaat chal rahe hai'n usi dhaare me tum bhi chalo, Ek chhota sa tabqa kehta hai k kuchh Takkar to maaro, kuchh na karne se kuchh karna behtar hai, To ye Chhota sa tabqa Diwangi me aur pagalpan me Majnoon ban kar halaat se takkar leta hai to Aage chal kar bade bade inqilabaat ko vajood deta hai,*
✦─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
★• 🔜 *32.in sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*📃 Admin ( 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥) Ki Diary-_,*
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
⚀ *Talib e Dua*,
https://T.me/IslamicMsgOfficial
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☆
Post Top Ad
Your Ad Spot
الجمعة، 16 ديسمبر 2022
DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-31
Tags
# DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N
DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot