DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-33 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الأحد، 18 ديسمبر 2022

DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-33

🌸🍀🌸
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *☝🏻_ KAAR GUZARIYA'N _☝🏻* 
           *(DAWAT TABLEEG KI)*      
        ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                   *✧_ PART-33 _✧*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
*❈_Saabqa Chor ki Tahajjud ki haalat me Sajde me maut :-*

*★_ Ek Mewati chor tha, Ek Allah Wale waha'n Jama'at me gaye, Us Chor ki mannat Samajat Kar ke Usko Teen Din ke liye Tayyar kiya, Wo Teen Din ke liye Tayyar ho gaya lekin Shaitaan to bada Zaalim hai, Usne socha agar ye Tableeg me lag gaya aur Allah Wala ban gaya to meri to barso ki mehnat bekaar ho jayegi, Chuna'che Shaitaan ne use wargalane ki koshish ki aur usme Kamyaab bhi ho gaya,*

*★_ Jab ye us chor ko le kar Allah ke Raaste me gaye to Jama'at ki Tashkeel qareeb hi ek Masjid me hui pata chala k wo chor wapas chala gaya hai, Khair usko dobara dhoo'nd kar wapas Jama'at walo ke paas laye، Is tarah usne teen din lagaye, fir wo Jama'at me waqt lagata raha, is tarah uske Dil me Hidayat ki Shama Roshan hoti chali gayi _,"*

*★_ iske ye Samraat hue k us chor ne logo'n se maafi bhi maa'ng li, jiska maal wapas kar sakta tha uska maal bhi wapas kar diya, Fir us chor ko Allah ne kai Logo'n ki hidayat ka zariya banaya hattaki ek waqt esa aaya k jab uska inteqal hua to wo us waqt Tahajjud ki Namaz padh raha tha aur Sajde ki haalat me tha _,( Subhanallah)*

*★_ Mere Dosto ! Ese Laakho Namoone is Duniya me mojood hai'n, Zameen Tayyar hai lekin hal chalne wala koi nahi, Hazrat Maulana Mufti Mehmood Alhasan gango'i reh. ne farmaya Jo Basharate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko haasil thi'n wesi hi Basharate Tableeg me bhi mojood hai'n _,"*

        ✦─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
        ★• 🔜 *
34.in sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*📃 Admin (𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥 ) Ki Diary-_,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,                          
              ⚀ *Talib e Dua*,
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot