DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-35 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Saturday, December 24, 2022

DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-35

🌸🍀🌸
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *☝🏻_ KAAR GUZARIYA'N _☝🏻* 
           *(DAWAT TABLEEG KI)*      
        ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                   *✧_ PART-35 _✧*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
*❈_ Haraam Ki Laakho Ki Nokri Thukra di _,"*

*★_ Ek Nojawan Bank Ki Nokri karta aur Ek Laakh Tankhwah leta tha, Uski Teen Din Ki Tashkeel hui aur Usne Teen Din Jama'at me lagaye, Chilla bhi poora na lagaya tha, Abhi Sirf Teen Din lage they, Waapas gaya to jate hi istifa de diya k Sood Haraam hai, Mai'n Bank ki Nokri nahi karunga,*

*★_ Jab Usne Achanak istifa diya, To Bank ne us per  Harjana ka Daava dayar kar diya k itne laakh hume Harjana ke de do tab istifa qubool hai ya Apni Service do tab tujhe chhodenge, Usne kaha mujhse Harjana le lo Mai'n Nokri nahi karunga _,"*

*★_ Harjana dene me Kya Qurbani Deni padi, Ghar bik gaya Jaydaad bik gayi, Jo banaya tha Sab bik gaya, Shehar se bahar ek Kachche se ghar me guzar basar karne laga, Nokri chhodi Dehaat me gaya, Waha'n se Bakriya'n khareed ke laya, Shehar ki Mandi ke  Wohi Shakhs ab Tijarat kar raha hai, Jo kal tak Qeemti Gaadiyo me ghoomta tha, Aage pichhe Nokro ki qataar thi,*

*★_ Jab Shehar me Pehli baar Mandi me Bakriya'n bechi, 500 Rupiya use nafa hua, ghar le kar aaya Khushi se Foot Foot kar ro pada, Bivi bhi ro rahi hai Miya'n bhi ro Raha hai k Aaj pehla Din hai Halaal Paisa ghar me aaya hai, Ye Duniya bhi Ajeeb jagah hai, Yaha'n khushi me bhi log rote hai'n gam me bhi rote hai'n, Jis Jaha'n ki khushi bhi ro kar ho wo khushiyo'n Ka Jaha'n kese ho sakta hai?*

*★_ Mere Dosto Mujhe batao ! kya Ye Gustakhe Rasool bana ? Ye pehle bhi to jaanta tha k Sood Haraam hai, fir ye kyu Sood khata tha, Fir Allah ki Raah me nikla fir Tableeg me Aaya Fir usne Sood chhoda, Agar Tableeg wale ise Gustakhe Rasool banate to pehle se zyada use Sood me fa'nsate ! Itni badi Qurbani per wo kese aaya ? Kaha'n Ek laakh aur Kaha'n 500 Rupiya, Zara Socho to Sahi ?*

        ✦─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
        ★• 🔜 *
36.in sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*📃 Admin ( 𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥) Ki Diary-_,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,                          
              ⚀ *Talib e Dua*,
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Download App
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot