⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–36_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Bistar chamde ke gadde per mushtamil tha, Jisme Khajoor ki Chhaal bhari hui thi, baan ki bani hui Chaar Payi rakhte, Taat ka bistar bhi istemal me raha, Jo Dohra kar ke bichhaya jata, Ek baar Chohra kar ke bichhaya gaya to Subeh dariyaft farmaya k Aaj kya khususiyat thi k mujhe gehri neend aayi aur Tahajjud chhoot gayi, maloom hone per hukm diya k Bistar ko pehle hi haal per rehne diya jaye,*
*❀"_ Zameen per chatayi bichha kar bhi letne ka Mamool tha, Baaz Awqaat Chaar Payi ke nishanaat badan per dekh kar Rafqa khaas ( Maslan Hazrat Umar v Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhum) ro pade, Zara Hazrar Umar Raziyallahu Anhu ka Chashmdida Naqsha saamne laye'n, Unhone Huzoor ﷺ ko is Aalam ke dekha k Aap ﷺ Khuri Chaar Payi per lete Hai'n aur Jism per Nishan pad gaye hai'n, idhar udhar dekha to ek taraf mutthi bhar Jo rakhe hai'n, Ek kone me kisi jaanwar ki khaal keeli se latak rahi hai, Ye manzar dekh kar meri Aa'nkho se Aa'nsu jaari ho gaye _,"*
*❀"_ Huzoor ﷺ ne rone ka sabab puchha to arz kiya k Qaisar v Kisra to Aysh kare'n aur Aapka ye haal rahe, Farmaya - Umar kya Tum is per khush nahi k wo Duniya le jaye'n aur hume Aakhirat mile _," ( Al Muwahib, Sahi Muslim)*
*❀"_ Khane pine ka Zoq bahut nafees tha, gosht se khaas ragbat thi, Zyadatar Tarjeeh Dast, gardan aur peeth ke gosht ko dete, Neez pehlu ki haddi pasand thi, Shareed ( gosht ke Shorbe me roti ke tukde bhigo kar ye Makhsoos arbi khana Tayyar kiya jata tha) tanawul farmana margoob tha, Pasandida Cheezo me Shehad, Sirka, Kharbuja, Kakdi, Loki, khichdi, Makkhan, vagera cheeze Shamil thi, Doodh ke saath khajoor ( Behatreen Mukammal Giza banti hai ) ka istemal bhi achcha lagta aur Makkhan laga kar khajoor khana bhi Zoq me Shamil tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 102,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
الأحد، 4 ديسمبر 2022
MOHSIN E INSANIYAT Part–36
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot