MOHSIN E INSANIYAT Part–43 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Saturday, December 10, 2022

MOHSIN E INSANIYAT Part–43

⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
     *■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                          
                  ★ *Part–43_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*    
       ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Apne Bachcho Ke Liye bhi Huzoor ﷺ ke Jazbaat bade gehre they, Hazrat Ibrahim ko Raza'at ke liye ek Lohaar Ke ghar me Madina ke Balaa'i hisse me rakha gaya tha, Unko dekhne ke liye khasa Faasla chal kar Tashreef le jate, Ghar me Dhuwa'n bhara hota magar waha'n bethte aur Bachche ko god me le kar pyaar karte,*

*❀_"_ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha aati'n to uth kar istaqlaal karte, Khud Tashreef le jate, Apni kehte unki Sunte, Unke Sahabzado Hasan aur Husain Raziyallahu Anhum se bahut hi pyaar tha, unko god me lete, Unko Kandho per Sawaar karte, Unke liye Ghoda bante, Haalate Namaz me bhi unko Kandho per bethne dete,*

*❀_"_ Ek baar Iqra bin Haabis ne Aapko janab Hasan Ka Bosa lete dekha to Tajjub se kaha k mere to Das bete hai'n, Maine kabhi kisi ko pyaar nahi kiya magar Aap Bosa lete Hai'n, Farmaya- Jo Raham nahi karta us per Raham nahi kiya jata _,"*

*❀_"_ Hazrar Ibrahim Sahabzade ki Wafaat hui to Sadma se Aa'nkhe dabdaba aayi'n, Isi tarah ek Sahabzadi ki Wafaat Aapki mojoodgi me hui, Umme Aiman chilla chilla kar rone lagi'n, Huzoor ﷺ ne mana farmaya, To wo kehne lagi'n k Aap khud bhi to ro rahe hai'n, Aapne farmaya k esa Rona mana nahi hai, Ye Rona jis Raqat ki vajah se hai Wo Allah ki ek Rehmat hai,*

*❀_"_ Apni Sahabzadi Umme Kulsum ki Qabr per khade hue to Us Waqt bhi Aap ﷺ ki Aa'nkho se Aa'nsu jaari they, Usman bin Maz'oun ki mayyat ke saamne bhi Aap ﷺ ki Aa'nkhe Ashk baar thi'n, aur Aapne unki Peshani per Bosa diya, Apne Rone ki Kaifiyat ko khud bayan farmaya,_"Aa'nkhe Ashk Alood hai'n, Dil Gamzada hai, Magar hum Apni Zubaan se iske ma Siva kuchh nahi kehte Jo hamare Rab ko pasand hai _,"*    

*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 106,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot