⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–46_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Zaahir ( Ya Zuhair ) Naami ek Baddu they, Unse be takallufi thi, Aap ﷺ Apne us Baddu Dost ko Shehar se mutalliq kaamo me imdaad dete aur Wo Dehaat se mutalliq Huzoor ﷺ ke kaam kar lata, Neez mukhlisana Jazbe se Hadiye deta ( Jinki qeemat Huzoor ﷺ ba israar Ada farmate ) Chunache farmate k Zaahir Dehaat me hamara gumashta ( Muneem) hai aur hum Shehar me uske gumashta hai'n _,"*
*❀__"_ Yahi Zaahir ek din Bazaar me Apna kuchh Sauda bech rahe they, Huzoor ﷺ ne pichhe se ja kar chupke se Aa'nkho per haath rakh diye aur puchha batao Mai'n kon hu'n, Wo pehle to kuchh na samjhe, Fir jab maloom hua to farte ishtiyaq me Huzoor ﷺ ke Seene se Apne kandhe malte rahe, fir Huzoor ﷺ ne Mazahan kaha k kon is gulam ko khareedta hai , Zaahir kehne lage, Ya Rasulallah! Mujh jese nakaara gulam ko jo kharidega ghaate me rahega, Farmaya - Tum khuda ki nigaah me nakaara nahi ho _,"*
*❀__"_ Ek moqe per Majlis me khajoore khayi gayi'n, Aap Mazah ke tor per guthliya'n nikaal nikaal kar Hazrar Ali ke aage daalte rahe, Aakhir me guthliyo ke dher ki taraf ishara kar ke unse kaha k tumne to bahut khajoore khayi'n, Unhone kaha k Maine guthliyo samet nahi khayi'n _,"*
*❀__"_ Baad ke Logo'n ko is range Mazah ka haal sun kar Tajjub hota tha kyunki ek to mazhab ke saath Taqashuf ( Sakht zindgi guzarne) ka Tasavvur hamesha mojood raha hai aur khuda parasto aur Muttaqiyo ki hamesha Roni Soorate aur Khushk Tabiyate Logo'n ke saamne rahi hai'n, Doosre Huzoor ﷺ ki ibaadat E Rab, Huzoor ﷺ ki khashiyat, Huzoor ﷺ ki bhari Zimmedariyo aur Huzoor ﷺ ke Tafakkuraat ka khayal karte hue ye Samajhna mushkil ho jata hai k is Namoona E Insaniyat ne in muskurahato ke liye zindgi ke Naqshe me kese jagah paida ki _,"*
*❀__"_ Chunache ibne Umar Raziyallahu Anhu se puchha gaya k kya Rasulallah ﷺ ke Raqfqa bhi Ha'nsa karte they? Unhone farmaya - Haa'n ha'nste they aur unke Dilo me Pahaad se zyada bada imaan tha ( Yani Ha'nsi Dillagi imaan v Taqwa ki Naqeez ( mukhalif ) nahi hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 109,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
الجمعة، 16 ديسمبر 2022
MOHSIN E INSANIYAT Part–46
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot