◐
┬✭┬══════════════┬✭┬
I *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* l
┴✭┴══════════════┴✭┴
*✿ ❈ TOHFA- E- DULHAN ❈ ✿*
*posт ղo- 98*
◐┄┅════❖════┅┄◐
*✿●•·Nek Bivi Ka imtihaan -3,*
┍━━━━━━━━━━━━━━━
*─❥"_(8)_ Bachcho ki behuda Harkato per bajaye zor se cheekhne ya daa'ntne Ya unko Waalid Sahab se darane ke bajaye kya us waqt Aap Sabr kar ke unke Sar per haath rakh kar pyaar se samjhati hai'n aur khoob unke liye Dua karti hai'n, Taki unko Yaqeen ho jaye k ye Shafeeq Maa'n hamari islah chahiti hai na k Apna gussa utaarna ?*
╟──────❥
*─❥"_(9)_ Kya Aap is baat ka Ahatmam karti hai'n k Shohar ne jo kuchh ek martaba keh diya unko dobara kehne ki zarurat na pade, aur agar Aapne kisi uzr ki vajah se wo kaam nahi kiya to unke puchhne se pehle hi bata deti hai'n k Mai'n is vajah se nahi kar saki ?*
╟──────❥
*─❥"_(10)_ Aapko Agar Shohar se koi baat manwani ho, Maslan - wo Bachcho ko waqt nahi dete, unki Tarbiyat ka Ahatmam nahi karte, Subeh se Shaam tak zariya maash hi ki fikr me lage rehte hai'n to Aap unko Samjhane ke liye Saleeqe aur Hikmat se aur pyaar muhabbat ke Lehje me munasib waqt aur moqe ka intezar karti hai'n Ya Nazar Andaz me daa'ntte hue kehti hai'n aur us waqt kehti hai'n jab wo Aap per kisi baat per gussa hue ho'n, Ya wo Dukaan se pareshan aaye ho'n, Kya Aap moqa Sanaashi, Mizaaj Sanashi ke usool per Amal karti hai'n?*
╟──────❥
*─❥"_(11)_ Kya Aap Apne Bachcho ke liye ese khilone khareedne ka Ahatmam karti hai'n jinse unka shoq bhi bade aur Samajh bhi bade aur usme Jaandaar ki Tasveer aur Shar'an koi doosri mamnu cheez na ho, k jiske Banane wale per Allah Ta'ala ne Hazrat Muhammad ﷺ ki zubani laanat farmayi hai aur Khabardaar kiya hai k Rehmat ke Farishte us ghar me nahi aate jis ghar me Tasaveer ho'n _,"*
╟──────❥
*╟❥ Next–99, Soon in Sha Allah ,*
┕━━━━━━━━━━━━━━━┑
*📓 Tohfa E Dulhan , 495,*
╒═══════════════╛
https://T.me/IslamicMsgOfficial ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
◐
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, December 17, 2022
TOHFA- E- DULHAN posт ղo- 98
Tags
# TOHFA- E- DULHAN
TOHFA- E- DULHAN
Tags:
TOHFA- E- DULHAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot