AHKAAM UN NIKAAH Post No (11) - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Thursday, January 5, 2023

AHKAAM UN NIKAAH Post No (11)

💫💫💫

     *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*

          *💧AHKAAM UN NIKAAH💧*
     ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                     *Post No (11)*
     ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*✿●•· Dusri Biwi Apne Huqooq Se Dast Bardar Ho Jaaye To?*

✦ Shariyate Mutahharah me Mard ko Bayak Waqt Char Shadiya karne ki ijazat hai. Basharte ke Biwiyo ke Darmiyan Adal Aur Barabri kar Sake Aur Shadi ke Sath Mard aur Aurat ke Darmiyan kai Huqooq Mutalliq hote hain, Ye Ta'alluqat Sirf Hambistari tak Mehdood nahi hai, Balke Shadi ki Surat me Biwi ka Mehar, Naan Aur Nafqa, Uski Rihaish ka Intezaam, Zawjain me se kisi Ek ke intiqaal ke baad Dusre ka Uske Tarke me hisse daar Banna Wagera shamil hai. Isi Wajah se Shariyat ne Shadi me Gawaho ki Shart lagayi hai, Take Logo ko Shadi ka ilm ho aur Tohmat ka andesha na ho, Aur Unke Huqooq ka thaffuz ho sake.

✦ Dusri Shadi karne se ye Tamam Huqooq Dusri Biwi ke liye bhi Sabit ho jaate hain Aur Uske sath sath dono Biwiyo ke darmiyan tamam Muamlaat (nafqa, rihaish, aur raat guzarne) me barabri zaroori hai. Han Agar koi Aurat Apne Shohar ke sath Raat Guzarne se Dast bardar ho jaaye to Uski gunjaish hai aur Jab us haq ko wapas lena chahe to le sakti hai. Is Surat me Shohar par dono Biwiyo ke Darmiyan Raat guzarne ki baari Muqarrar karna lazim hoga. Albatta har Biwi ke sath Hambistari karne me barabri Zaruri nahi hai. Baqi Nafqa Shohar par har haal me lazim hai. Biwi ke Nafqe se dast bardar hone se Nafqa maaf nahi hota.

*📚 Fatawa Hindiyah 533/1*

  *NEXT PART (12) IN'SHA ALLAH* •─━━━━━══════━━━━━─•
  → *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
https://T.me/IslamicMsgOfficial ━═───────────────═━
🫧🫧🫧

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot