AHKAAM UN NIKAAH Post No (15) - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Wednesday, January 11, 2023

AHKAAM UN NIKAAH Post No (15)

💫💫💫

   *BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*

        *💧AHKAAM UN NIKAAH💧*
   ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                  *Post No (15)*
   ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*✿●•· Nikah E Shigaar Ka Shar'ee Hukm*

✦ Agar Zaid ne Apni Beti ka Nikah Khalid se Baqayeda Mehar tai kar ke kar diya. Aur Phir Khalid ne bhi Apni Beti ka Nikah Zaid se Mustaqil Mehar tai karke kar diya to Ye Nikah Durst hai Aur Ye Nikah Shigar nahi hai. Albatta Zaid Aur Khalid me se har Ek Apni Beti ki Shadi Dusre se is shart par kare ke har Ek Dusre ko Apni Beti Nikah me dega Aur Haqq e Mehar nahi hoga. Yani ke Ek Ladki ke Badle me Dusri Ladki ki Jaaye, Aisi Surat ko Shigar kehte hain, jis se Rasoolullah ﷺ ne mana farmaya hai.

✦ Jaise ke Hadees Shareef me hai Hazrat Ibne Umair Rz se Riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne Nikahe Shigar se Mana farmaya hai Aur Shigar ye hai ke Aadmi Apni Beti ka Nikah is Shart par kare ke Wo Apni Beti ka Nikah Usse kar Dega Aur Unke Darmiyan Mehar Muqarrar nahi kiya Jaayega. (Yani Dono Aurton ko Ek Dusre ka Mahr Taswwur kiya jaayega)

✦ Lihaza Shar'an Aisi Shadi se Mana kiya gaya hai. Albatta Ulama e Ahnaaf ke Nazdeek Agar kisi ne kiya hai to Nikah Mukammal Batil nahi hai Balke Nikah sahi hai Aur Aurat ko Mehre misl diya jaayega Aur Awlaad bhi Sabit Nisbat hogi.

*📚 Durre Mukhtaar Ma'a Raddul Mukhtar 3/105*

  *NEXT PART (16) IN'SHA ALLAH* •─━━━━━══════━━━━━─•
  → *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial ━═───────────────═━
🫧🫧🫧

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot