💫💫💫
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*💧AHKAAM UN NIKAAH💧*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*Post No (27)*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*✿●•· Video Calling Ke Zariye Nikah Ka Hukm*
✦ Shariyat ne Nikah ke iniqaad ke Liye Ek zabta Rakha hai Aur Wo Zabta ye hai ke Shar'an Nikah sahi hone ke liye ijaab o Qubool ki Majlis ek ho Aur Usme Janibain me se Dono ka Binafse Nafis ya Unke Wakil ka hona Shart Aur Zaruri hai, Neez Majlise Nikah me Do Gawaho Ka Ek Sath Mojood hona Aur Dono Gawaho ka Usi Majlis me Nikah ka ijaab o Qubool ke Alfaaz ka Sunna bhi Shart hai. Aur Agar Janibain me se koi Ek Majlis nikah Me Mojood na ho, to Us Surat me Apna Wakil Muqarrar kare, Phir Ye Wakeel Apne Muwakkil ki taraf se Uska Naam Ma'a Waldiyat le kar Majlis e Nikah me ijaab o Qubool kare, To Nikah Mun'aqid ho jaayega, Phir Nikah ki Jis Majlis me Fariqain Binafse Nafis sharik ho to wo majlis Haqiqatan Majlis ke Hukm me hai, Aur Jis Majlis me Fariqain me se Ek ya Dono ki Janib se Wakeel ho to Wo hukman Majlis ke Hukm me hai.
✦ Mojuda Door me Video Calling ke Zariye Nikah ke Iniqaad ki Jo Surat ikhtiyar ki Jaati hai, Usme Majlis ki Shart Mafqud hoti hai, Kyunki Shar'an na to ye Surat Haqiqatan Majlis ke hukm me hai Aur na hi Hukman, Kyunki Wo Ek Majlis hi nahi hoti, Balke Fariqain Do Mukhtalif Jagho par hote hain, Jab ke ijaab o Qubool ke liye Aaqidain ki Majlis Ek hona Zaruri hai, Lihaza Video Calling ke Zariye Nikah Mun'aqid Karna Durst nahi hai.
*📚 Durre Mukhtaar Ma'a Raddul Mukhtar 3/14*
*NEXT PART (28) IN'SHA ALLAH* •─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial ━═───────────────═━
🫧🫧🫧
Post Top Ad
Your Ad Spot
Saturday, January 21, 2023
AHKAAM UN NIKAAH Post No (27)
Tags
# AHKAAM UN NIKAAH
AHKAAM UN NIKAAH
Tags:
AHKAAM UN NIKAAH
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot