DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-41 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 5 يناير 2023

DAWAT TABLEEG KI KAAR GUZARIYA'N PART-41

🌸🍀🌸
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *☝🏻_ KAAR GUZARIYA'N _☝🏻* 
           *(DAWAT TABLEEG KI)*      
        ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                   *✧_ PART-41 _✧*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
*❈_Itli me Ek Arab Nojawan ki Mehnat:-*

*★_ Is Dafa me Hajj per gaya to itli se Ek Nojawan aaya hua tha Arab, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki Aulad me se tha, Marakish ka rehna wala tha, Majboori ki vajah se Use Itli me rehna pad gaya, 22 saal ki umr thi, Us Akele Ladke ne Itli me poore Musalmano ko harkat de di, Waha'n Teen So Masjide ban gayi'n jabki Ek Masjid bhi na thi aur Hajj per Sattar Nojawano ko le kar aaya hua tha,*

*★"_ itni Taaqat Allah ne Musalmano me rakhi hai, Wo Aalim nahi hai koi Duniyavi Digree thi, Economics ya Physics ki mujhe Achchhi tarah yaad nahi lekin usne waha'n Jo is Mehnat ko zinda kiya to poore Itli me Teen So Masjido ka Zariya ban gaya aur Hazaaro Nojawano ki Tauba ka Zariya ban gaya,*

*★_ is Tableeg ki mehnat ke Zariye se Ek to poora Deen Seekhne ki Dawat di ja rahi hai k Hum pehle poore Deen ko Seekhe aur us per Amal kare'n, Agli baat ke zahan banaya ja raha hai k Saari Duniya ke insaano ke paas Allah ka Paigaam le kar Jana pade to hume jana hai,*

*★_ Ye Dawat ilallaah Hamari Zimmedari hai, Isi per to ye Saare Maratib aur Faza'il hai'n, is Waqt islam me Jo der ho rahi hai hamari Vajah se ho rahi hai,*

        ✦─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
        *★• 🔜 42 .in sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*📃 Admin (𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥 ) Ki Diary-_,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,                          
              ⚀ *Talib e Dua*,
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot