MISAALI AURAT PART-07 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Monday, January 2, 2023

MISAALI AURAT PART-07

✾✵✾
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  MISAALI AURAT  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-07* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥​​​​​​​​➾ Khawind Ke Bivi Per Huqooq me se hum ek Haq ka Tazkira kar rahe hai'n, Is haq ki Adaygi se Aurat Apne Rab ki jannat haasil kar sakti hai aur Duniya v Aakhirat me Surkhru ho Sakti hai, Wo Haq ye hai k Aurat ko Apne Khawind ki ita'at Sha'ar Bivi hona chahiye,*

*❧"_ Jo Khawind uske Huqooq ka Paasdaar ho, Uska istehqaq hai k wo Apni Bivi se hamesha Pakiza aur meethi baat sune aur Bivi ko har waqt Apni Hajaat v Zaruriyaat poori karne wali paye, Meri Pyari Momina Behno! Khawind ke liye Tumhari ita'at hi Azdwaji Zindgi ki Kamyaabi ki Zamanat hai,*

*❧"_ Jis qadar Khawind ko ye Ahsaas v Sha'oor hoga k tum uska ye Azeem haq Bakhoobi Ada kar rahi ho, Usi Qadar wo Tumhari izzat karega aur Uske Dil me Tumhari muhabbat badhegi, Nabi Kareem ﷺ ne momin Aurto'n ko ye Taleem di hai k Jannat ka Raasta Allah aur uske Rasool ﷺ ki ita'at ke baad Khawind ki ita'at se shuru hota hai,*

*❧"_ Aao Zara is Hadees Shareef per gor kare'n:- Hazrat Husain bin Mohsin ba Rivayat karte hai k unki Foofi Apne kisi kaam se Nabi ﷺ ki khidmat me Haazir hui, Jab Wo Apne kaam se faarig ho gayi'n to Nabi Akram ﷺ ne unse dariyaft farmaya - kya tum Shadi shuda ho ? Unhone arz kiya - Ji haa'n, Aap ﷺ ne puchha - Tumhara uske Saath Sulook aur Ravayya kesa hai ? Unhone arz kiya - Mai'n uski khidmat aur ita'at guzari me koi kasar nahi chhodti, Sivaye us cheez ke jo mere bas me na ho, Aap ﷺ ne farmaya - Achchha ye Batao k Tum uski Nazar me kesi ho ? Kyunki beshak wo tumhari jannat aur Jahannam hai _,"*
*®- Musnad Ahmad- 6/419, Mustadrak Haakim- 2/189, Hadees- 2769,*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -23,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot