MISAALI AURAT PART-27 - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Sunday, January 22, 2023

MISAALI AURAT PART-27

✾✵✾
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀  MISAALI AURAT  ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-27* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥​​​​​​​​➾(13)_ Azaabe Qabr ka khof,*
*"❧_(14)_ Qayamat ki Holnakiyo ka Khof,*
*"❧_(15)_Allah Ta'ala ke Saamne Khade hone ka Khof,*
*❧"_(16)_ Har Choti badi Azeem v Haqeer Cheez ke bare me Sawal ka khof,*

*❧"_(17)_ Pul Siraat aur uski Tez dhaar ka khof,*
*"❧_(18)_ Jahannam Ke Sholo aur Wehshat Naakiyo ka khof,*
*"❧_(19)_ Ni'amato se Araasta jannat aur Abdi Badshaahi se mehroomi ka khof,*
*❧"_(20)_ Allah Rabbul izzat ke Chehre Aqdas ki Ziyarat se Mehroomi ka khof,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Janab Faqeeh Samarkandi Reh. Ka irshad suniye, Wo farmate hai'n, Jo Shakhs Nek kaam kare use Chaar baato se khof khane ki zarurat hai:-*
*❧"_(1)_  Nek Amal ke Qubool na hone ka khof Kyu'nki Allah Ta'ala farmate hai'n,"_ Bila Shubha Allah Muttaqiyo se ( A'amal) Qubool karta hai _," ( Surah Maa'ida-27)*
*❧"_(2)_ Riyakaari ka khof Kyu'nki Allah Ta'ala farmate hai'n, "Hala'nki unhe yahi hukm diya gaya tha k Wo bandgi ko Allah ke liye Khaalis kar ke uski ibaadat kare'n _, (Al Bayyinah- 98)*

*❧"_ (3)_ A'amaal ki Wasooli aur Hifazat ka khof - Allah Ta'ala farmate hai'n, "_ Jo Shakhs ( Waha'n) ek Neki le kar aaye to uske liye Das Guna ( Sawab ) Hoga, (Al An'aam-160),*
*"_ is tarah Allah Ta'ala ne A'amaal ko Aakhirat ke din lane ki Shart laga di,*
*❧"_(4)_ ita'at v farmabardari me Ruswayi ka khof isliye k Bande ko ye ilm nahi k usne Sahi ita'at ki hai ya nahi? Irshade Baari Ta'ala hai - "_ Aur mujhe ( iski ) Tofeeq milna Allah ki madad ke Siva mumkin nahi, maine us per bharosa kiya aur usi ki taraf ruju karta hu'n _," ( Hood- 88)*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -50,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
http://bit.ly/IslamicMsgOfficial ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot