⚫☆⚫
▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
*⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
┗───┯ ✿ *posт ղo☞08*
⊙———⊙———⊙———⊙———⊙
✿●•· *Ramzan Aur Qur’an_*
*┱ _ Kalame ilaahi ko Ramzanul Mubarak se Khaas talluq hai Jesa k Surah Al-Baqara,( Aayat 185 ) mai irshad Hai :-*
*”__شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ _,*
*”__(Tarjuma) Maahe Ramzan hai Jisme Qur’an Naazil Kiya gaya hai _,”*
*┱_ Qayame Ramzan Yani Namaze Taraveeh ,Ye bhi Qur’an Shareef padhne aur Sunne ke liye hai ,Din ko Roze mai mashgooliyat aur Raat ko Taraveeh mai khade ho Kar zoq v shoq se Qur’an Padhna ya Sunna isse Momin ke Qalb (Dil ) mai Ek Ajeeb kaifiyat Paida hoti Hai aur Ye dono ( Roza aur Qur’an ) Qayamat ke Din Momin ke kaam aayenge ,*
*┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-“__Roza aur Qur’an Bande ke liye Baargaahe ilaahi mai sifarish karenge ,Roza kahega k Ey Rab ! Maine is Bande ko Din mai Khaane pine aur Doosri khwahisho se rok Diya tha, Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye, aur Qur’an Majeed arz Karega k Maine ise Raat ko Sone nahi Diya ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , Chunache dono ki Sifarish qubool Kar li jayegi _,”*
*🗂 Mishkaat-173 An Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*
*┱ _Har Saal Ramzanul Mubarak mai Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Qur’an Majeed Ka Daur Kiya karte they ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko sunate aur Wo Afzalul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ko sunate they, Jis Saal Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat Hui do baar Daur Kiya ,isse pehle ek baar Daur Kiya karte they _,” ( Bukhari )*
*┱ _Isse maloom hua k Ramzanul Mubarak mai Huffaaz Kiraam Ka ek doosre ko sunane Ka Jo marooj tareeqa hai ye Masnoon hai, Ramzan mai himmat Kar ke Hifz v Naazra khoob Quran ki Tilawat kiya Kare ,*
•═══▦☆☆▦═══•
*Ref-📕 TOHFA E KHAWATEEN_,* ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
Tuesday, April 4, 2023
FAZA'IL E RAMZAN posт ղo☞08
Tags
# FAZA'IL E RAMZAN
FAZA'IL E RAMZAN
Tags:
FAZA'IL E RAMZAN
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot