رمضان المبارک کے مسائل
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬
ﺴــــــــــــــوال نمبر:۲۰
کیا روزے کی حالت میں مسواک کرسکتے ہے ؟
▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️️
جواب
روزے کی حالت میں مسواک کرنا سنت ہے۔
حضرت عامر بن ربیعہ رضی اللہ تعالی عنہ روایت کرتے ہیں کہ میں نے کہ نبی ِ اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو روزہ کی حالت میں اتنی بار مسواک کرتے ہوئے دیکھا ہے کہ جس کو میں شمار نہیں کرسکتا ۔(ترمذی:۷۲۵)
مسواک چاہے سوکھی ہو یا تازی، اسی وقت کی توڑی ہوئی ہو یا پہلے کی، اگر نیم کی مسواک ہے اور اس کا کڑوا پن منہ میں معلوم ہوتاہے تب بھی مکروہ نہیں۔
(فتاوی عالمگیری:۱؍۱۹۹)
فقط واللہ سبحانہ وتعالیٰ اعلم
مفتی محمد بلال یوسف شیخ باندرہ ممبئی
----------------------------------------- ️
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
▬▭▭▭▭▭▭▭▭▭▬
SAWAAL NO. 20
Kya Roze Ki Haalat Mein Miswaak Kar Sakte Hain?
▫️▪️▫️▪️▫️▪️▫️▪️
JAWAAB :
Roze Ki Haalat Mein Miswaak Karna Sunnat Hai.
Hazrat Aamir Bin Rabee’ah رضی اللہ تعالی عنہ Riwaayat Karte Hain Ke Main Ne Nabi E Akram صلی اللہ علیہ وسلم Ko Roze Ki Haalat Mein Itni Baar Miswaak Karte Huye Dekha Ke Jis Ko Main Shumaar Nahin Kar Sakta. (Tirmizi:725)
Miswaak Chaahe Sookhi Ho Yaa Taazi, Usi Waqt Ki Todi Huyi Ho Yaa Pehle Ki, Agar Neem Ki Miswaak Hai Aur Us Ka Kadwa Pan Munh Mein Maaloom Hota Hai Tab Bhi Makrooh Nahin.
(Fataawa Aalamgeeri:1/199)
Faqat Wallahu Subhaanahu Wa Ta'ala A'lam
Mufti Muhammad Bilal Yusuf Shaikh Bandra Mumbai
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
Post Top Ad
Your Ad Spot
Sunday, April 2, 2023
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail SAWAAL NO. 20
Tags
# Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
Ramazaan ul Mubaarak Ke Masaail
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot