𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الجمعة، 14 أبريل 2023

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post

✯✰✮

✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦
*Bismillahirrahmanirrahim*
✦••••••••••••✦❁✦••••••••••••✦

*❖ AHKAAM UL TAHARAT ❖*

*❂ Part - 05 ❂*
✾•••••••••••••••✾✽✾•••••••••••••••✾
​​​
*·•●✿ Paaun Ki Phatan Mein Vaseline Lage Hue hone ki Soorat Mein Wuzu ka Hukm*

Agar Paaun ki Phatan Gehri hai Aur Usmein Mom ya Vaseline bhar di gayi hai to Dekha Jaayega ke Usmein Pani ka Pahunchana Takleef ya Zarar ka Bais hai ya Nahin. Agar Takleef ya zarar ka bais hai to Upar se Pani bahana kafi hai Aur Agar Takleef ya Zarar ka Bais Nahin hai to Hattal Imkaan Mom ko Nikalna Zaruri hai take Badan tak Pani Pahunch jaaye.

Ye hukm Us Soorat mein hai Jab Phatan Gehri ho Aur Mom ya Vaseline Andar bhar di gayi ho, ba'az dafa Sirf khaal ke upar Vaseline se Malish kar di jaati hai is Surat Mein Ye Tel ke Hukm mein hai Aur Wuzu ya Ghusal ke liye Uska Chudana Aur Utarna Zaruri Nahin hai.

* MUFTI IRFAN ULLAH DARVESH*

* Hawala:*
*Fatawa shami 1/154,*
*Kabeeri fasl fi faraizul ghusal 49,*
*Al fatawa Tatar khaniyah 1/207*

*NEXT PART (06) IN'SHA ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
━═───────────────═━

ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot