𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post - Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

Monday, April 10, 2023

𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post


    ▤━─━─━▓━﷽━▓━─━─━▤
     *⊙ _ FAZA'IL E RAMZAN _ ⊙*
  ┗───┯ ✿ *posт ղo☞22*           
     ⊙———⊙———⊙———⊙———⊙      
         ✿●•· *Musafir Ka Hukm _*
*┱ _ Musafir Jo musafate Qasar ke iraade se Apne Shehar ya Basti se nikla Jab Tak Safar mai rahega Mard ho ya Aurat Chaar raka’ato wali Namazo ki jagah do raka’ate farz padhega, Haa’n agar kisi imaam ke pichhe (Jo Musafir na ho) Jama’at mai Shareek ho Jaye to Poori namaz padhni hogi, Musafate Qasr 48 meel ( 77.24 Kilometers ) hai , itni door Ka iraada Kar ke nikalne Wala Shara’i Musafir hai, Shari’at ne Namaze Qasr ki buniyad musafate Qasar per rakhi hai Agarche takleef na ho tab bhi 48 meel Ka Musafir 4 Raka’at wale Farz ki jagah 2 Raka’at padhega , agar 4 Raka’at Padh li to bura Kiya ,*

*┱_ Masla _,_ Jis Musafir ke liye 4 Raka’at wali Farz Namaz ki jagah 2 Raka’at padhna zaroori hai Uske liye ye bhi Jaa’iz hai k RamZan Mubarak ke moqe per Safar mai ho to Roza na rakhe aur Baad mai Ghar mai aa kar chhode hue Rozo ki Qaza kar le, Chahe Hawaii Jahaaz ya Motor ya Paidal Safar kiya ho aur Chahe Koi takleef Mehsoos na hoti ho ,agar kisi jagah 15 Din theharne ki Niyat Kar lega to Musafir na hoga ,*

*┱_Ye Baat qabile Zikr hai k Bahut se log Jis tarah marz ki haalat mai Roza chhot Jane per Baad mai Qaza nahi rakhte Usi Tarah log Safar mai Roza Chhod Kar Baad mai Ghar aa Kar Qaza nahi rakhte aur gunahgaar marte hai’n, Agar zyada takleef na ho to Musafir ko Ramzan hi mai Roza rakh Lena zyada behtar aur Afzal hai , Vajah iski ye hai k Avval to Ramzan ki Barkat aur nooraniyat se mehroomi na hogi , doosre Sab Musalmano ke Saath mil Kar Roza rakhne mai Asaani bhi hogi aur Baad mai Tanha Roza rakhna nushkil hoga,*

*┱ _ Masla _, _ 48 meel se Kam Safar mai Roza Chhod dena Durust nahi ,*
                •═══▦☆☆▦═══•
*Ref- TOHFA E KHAWATEEN_,*   ┏─═┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄┅┄✪                    
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

No comments:

Post a Comment

Post Top Ad

Your Ad Spot