*﷽ *
┯━══◑━═━┉─○─┉━◐══┯
*●• SHAB E QADR - KE -A'MAALL •●*
╥────────────────────❥
*☞_ Mubarak Raato me payi Jane wali Chand umoomi galtiyo’n Kï islaah ,*
*❉ 1- is Raat me ibaadat ka koi khaas tareeqa Saabit nahi ,Jesa Amuman samjha jata he ,Chunache baaz log is Raat Kï khaas Namaze bayan karte he’n k itni Raka’at padhi jaye ,Fala Raka’at me fala soorat itni martaba padhi jaye ,*
*⇏Khoob samajh Lena chahiye k esi koi Namaz ya ibaadat is Raat me Saabit nahi ,balki nifli ibaadat jis qadar ho sake is Raat me anjaam deni chahiye, Nifli Namaze padhe ,Qur’an Kareem Kï Tilawat kare ,Zikr kare, Tasbeeh padhe ,Duae’n kare, ye saari ibaadate is Raat me Kï ja sakti he, lekin koi khaas tareeqa saabit nahi ,*
*❉ 2:- Ba- Barkat Raato me jaagne ka matlab poori Raat jaagna nahi hota balki asaani ke saath jis qadar jaag kar ibaadat karna mumkin ho ibaadat karna chahiye aur jab neend ka galba ho to so Jana chahiye,*
*⇏Baaz log poori Raat jaagne ko zaroori samajhte he’n aur isko haasil karne ke liye poori Raat jaagne Kï bataklluf koshish karte he’n, aur jab neend ka galba hota he to Aapas me gap shap, Hansi mazaaq, Paan gutka aur Khane Peene Chaay Vagera ke andar mashgool ho jate he’n aur Masjid ke adaab v taqaddus Ko bhi pamaal kiya jata he ,*
*⇏Yaad rakhiye ! Is tarah fizooliyaat ya kisi gair Shara’i kaam me lag kar ” Neki barbaad aur Gunaah laazim ” ka misdaaq nahi banna chahiye ,*
*❉ 3:- Guroobe Aftaab hi se is Raat Kï ibtida ho jati he lihaza magrib hi se Mubarak Raato Kï barkat ko sametne me lag Jana chahiye, isha ke baad ka intezar nahi karna chahiye,*
*⇏Jesa k umoonan dekhne me aata he k log Raat ko jaagne ka matlab ye samajhte he’n k 11-12 baje Jab Bistar per Jane ka waqt hota he ,us waqt Bistar per Jane ke bajaye Masjid me jaa kar ibaadat Kï jaye ,is galat fehmi Kï Vajah se Raat ka ek bada hissa zaay ho jata he ,*
*❉ 4 :- Mubarak Raato me Jaagne ka matlab sirf jaagna nahi balki ibaadat karna he ,Chunache sirf Hansi mazaaq, gap shap Baat cheet ,Khane pine pilane ke daur me jaagte hue Subeh kar dena koi ibaadat nahi ,*
*⇏Balki baaz Avqaat in Azeem aur Ba-barkat Raato me bhi Jhoot, Chugal khori Geebat karne Sunne jese bade gunaho me shamil ho kar insaan aur bhi bade Azaab ka Mustahiq ban jata he, isliye infiradi tor per yaksui ke saath jis qadar asaani se mumkin ho ibaadat karni chahiye aur har qism ke Halle gulle se bilkul bachna chahiye,*
*❉ 5 :- Mubarak Raato me ijtimayi ibaadat ke bajaye infiradi ibaadat ka ahatmam karna chahiye isliye k in Raato me ijtimayi ibaadat ka Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se koi saboot nahi ,isliye Jo khuloos ,yaksui aur Allah Ta’ala ke saath raazo niyaaz infiradi ibaadat me naseeb ho sakta he Wo ijtimayi ibaadat me kaha’n ….!!*
*☞ ●•· *Mubarak Raato ko Kaise Guzare’n ,1:- Tauba V istigfaar,*
*❉_ Do Raka’at Salatut Tauba padh kar Sachchi Tauba kare, Apne Gunaaho per Sharmindgi v/Nadamat ke saath Allah Ta’ala se Sachche Dil se Maafi maange ,*
*⇏Chunache Shabe Qadar ke bare me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhuma ne jab Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Sawal kiya k Ya Rasulallah ! Agar Mai’n Shabe Qadar paa lu to usme kya padhu ,*
*⇏To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko koi bada Zikr ya koi badi Namaz aur Tasbeeh padhne ke liye nahi kaha balki ek Mukhtasar aur asaan si Dua Talqeen farmayi Jisme afu darguzar Kï darkhwast Kï gayi he ,:-*
*__ اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي _,*
*“_ Ey Allah Tu bahut maaf karne wala he, maaf karne ko pasand farmata he ,pas Tu mujhe maaf farma de ,”*
* Tirmizi : 3513*
*❉ _ isse maloom hua k Ba- Barkat Raato me Sabse bada karne ka kaam umuman log nahi karte Wo ye he k Apne guzishta Zindgi per Sachche Dil Se Sharmshar ho kar Aainda Zindgi me amalan tabdeeli lane ka sachcha iraada kar le k Tauba istigfaar kiya jaye ,Ye Amal Mubarak Raato Kï barkato ko sametne ka sabse aham aur sahi Tareeqa he ,*
Post Top Ad
Your Ad Spot
Wednesday, April 19, 2023
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot