⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Part–155_* ★
*⚂_ TEHREEK KA NAYA DAUR _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Awwaleen Qayame Muqaam Quba me hua Jo Madina se Teen Meel faasle per Ek Muzafaati Abaadi thi, Amru bin Auf Raziyallahu Anhu ke Khandaan ne istaqlaal kiya aur isi Khandaan ko Sharfe Mezbaani haasil hua,*
*"❀_ Ye Ghar Dar Asal Tehreeke islami ka Ek markazi centre tha, Muhajireen me Aksar ke liye manzile Awwal me ghar bana aur baaz Muhajir Sahabi is Waqt bhi yahi'i muqeem they, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu bhi Amanato ki Adaaygi ke baad rawana ho kar yahi'i Karwane Mehboob ke Saath aa mile,*
*"❀_Yaha'n 14 Roz Qayaam raha aur Muhajireen Joq dar Joq Sharfe Mulaqaat ko aa rahe they, Log us Hasti ko dekhna chahte they Jiska Paigaam unke Seeno me ghar kar Chuka tha, Uske Chehre ki ek Jhalak Nigaaho'n ke Daaman me Samet lena chahte they, Uske Moo'nh se meethe bol Sunna chahte they, Uski Duae Khair se Hissa Haasil karna chahte they, Gaaybana Aqeedat Ab Mohsine insaniyat ko ru dar ru dekhna chahti thi'n,*
*"❀_ Salam Mulaqate Guftgue'n Duae'n Majlise Kya kuchh na hoga, Quba me Aapne Apne haatho se Masjid ki Buniyad rakhi, Ek Ek Musalman us Tameer ki Muhim me Shareek tha aur Khud Duniya ka Sabse bada Tareekh Saaz ek Mamooli mazdoor ki tarah bhaari bhar Kam patthar utha utha kar la raha tha, Kaam ho raha tha aur Nagme gaye ja rahe they,*
*"_ ( Tarjuma ) _ Yani Kaamyab wo hai Jo Masjido ki Tameer kare, uthte bethte Qur'an padhe aur Raato ko ( ibaadat ke liye) jaage_,"*
*❀"_ Ye Masjid Mahaz i'ynt patthar aur Gaare aur foo'ns ka majmu'a na thi, Usme Khatimun Nabiyyeen ﷺ se le kar ek Aami Musalman tak har ek ne Behatreen Jazbaat Sarf kiye they, isliye uski Shaan me Qur'an ne kaha - ( Tarjuma) Ye esi Masjid hai k iski Buniyad Taqwa per istwaar ki gayi hai,*
* Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 206,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post Top Ad
Your Ad Spot
السبت، 6 مايو 2023
𝐈𝐬𝐥𝐚𝐦𝐢𝐜 𝐌𝐬𝐠 𝐎𝐟𝐟𝐢𝐜𝐢𝐚𝐥's Post
Tags
# Islamic Msg Official
Islamic Msg Official
Tags:
Islamic Msg Official
الاشتراك في:
تعليقات الرسالة (Atom)
Post Top Ad
Your Ad Spot

