┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*Bismillahirrahmanirrahim*
┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
*9 Aur 10 Muharram ka Roza*
❁❁
* Hadees:* Hazrat Abu Qatada al-Ansari RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ se Ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap ﷺ ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai..
- (Muslim, Vol 3, 2747, 2528)
* Hadees:* Hazrat Abdullah Bin Abbas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolullah ﷺ Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap ﷺ Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap ﷺ Duniya se wafat pa gaye..
- (Muslim, Vol 3, 2666, 2603)
https://bit.ly/IslamicMsgOfficial
❁❁