*🌟Bismillahirrahmanirrahim🌟*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*🌺 Masaail e Qurbaani 🌺*
*📣 Masala no 2 📣*
*📜 Sawal :* Qurbani Karne Ki Kya Fazilat Hai??
*✅ Jawab :* Hazrat Aaisha (R.A) se Riwayat he ke Huzoor Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya ke Zil hajja ki 10 tarikh yani Eidul Azha ke din Insan ka koi Amal Allah Ta'ala ko Qurbani se Zyada Mahbub nahi hai Aur Qurbani ka Janwar Qayamat ke din apne Singo Aur Baalo our Khuro ke sath zinda hokar Aayega our Qurbani ka khun Zameen per girne se pehle Allah Ta'ala ki Riza our Maqbuliyat ke maqam per puhonch jata hai Pas ae khuda ke Bando dil ki puri khushi se Qurbaniyan Kiya karo ...
📗 (Tirmizi Sharif Bahawala Masail e Qurbani 32 Bifarqi Yasir)
_📝 Maulana Ibrahim Alyani Sb.._
*📲Download App:* goo.gl/wqABfs
❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁