- Islamic Msg Official

Ads 720 x 90

Responsive Ads Here

Post Top Ad

Your Ad Spot

الخميس، 9 أبريل 2020

Majmul Hasanaat wal Karaamaat,
Vali e Waqt, Namun e Salf, Shaikh ul Hadees,
Muftee e Gujaraat Hazrat Ji Mufti Ahmad Khanpuri sb db ka
Aaj ka Islaahi Sabaq No. MAK-AKIS-01
Shab e BaraAt ke Fazail wa Masail




Shab e BaraAt ke Fazail wa Masail

Shab e BaraAt yaanee Shab e Nijaat...Nijaat kee Raat...eskee Ek Ek Second Qeemtee hai...yaad rahey ye mooka Saal mein Sirf Ek hee Baar aata hai lihaaza Eska Puraa Faaydaah uuthaeeye...Es Raat Sirf Do Kaamo mein hee Waqt Lagaaeeye :
1) Apney Gunaah kee MuAafee maangkar Gunaah se BaraAt-Nijaat haasil kar lijiye 
(Shab e BaraAt shuru hone se pehle logon se bhee Apney Gunaah kee Muaafee Maang lijiye)
2) Apnee Tamaam Zarurat ko ALLAH se maangkar BeRozgaaree, Tandastee, Qarz, Kiraaye ke Ghar, Dushmanee, Bimaaree, BeIzzatee, BadNaamee wagairaah se BaraAt Haasil kar lijiye...

Nukta...Point...
Fasal Kaatney kee Maalumaat Fasal Kaatney ka Din Aaney se pehle se hee Kisaan kar leta hai, Fasal kaatney ke Din Naheen karta es tarah humey bhee Shab e BaraAt Shuru hone se Pehle hee uussey Kaisey Faaydaah haasil karna chahiye uuskee Mukammal Maalumaat haasil karnee chahiye...Shab e BaraAt shuru hone ke Baad Nahee...!! 

---

Shab e BaraAt ki Sunnat (Masnun) DuAa

Shab e BaraAt mey RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم   sajde mey Baar-Baar ye DuAa padhtey thay :

ALLAHumma Innee A’uu-zu Bi-Afwi-ka Min Iqaa-bika Wa A’uu-zu Bi Rizaa-ka Min Sa-kha-tika wa A’uu-zu Bi-ka Min-ka Jal-la Waj-hu-ka Laa-Uhsi Sanaa-an Alay-ka Kamaa Asnai-ta A’laa Nafsik

NOTE : 1) YE ISLAAHEE SABAQ  LAMBA HAI LEKIN ESMEIN SHAB E BARAAT KI MUKAMMAL MAALUMAAT HAI ES LIYE ZARUR SUNIYE
2) ISLAAHI SABAQ ROZ NAHEEN PUBLISH HONGA, KHANQAUH SE JAB BHEE AAYENGA TAB PUBLISH KIYA JAAYENGA IN SHA ALLAH


ليست هناك تعليقات:

إرسال تعليق

Post Top Ad

Your Ad Spot