ROZAH TOOTNE KE BAAD KYA KARE?⭕AAJ KA SAWAL NO. 2085⭕
🔵JAWAB🔵
Haiz aane se ya kisi uzr ki wajha se ya galti se roza toot jaye to baaqi din kuchh khana pina sab ke samne durust nahin tanhai me khaye piye. saare din rozah daaron ki tarah rehna mustahab hai.
Albattah koi aurat haiz nifas se din me hi paak ho jaye to baaqi din rozah daaron ki tarah bagair khaye piye rehna wajib hai.
📘MASAILE ROZA SAFA 85 BAHAWALA
📕BAHISHTI ZEWAR 3/23
📗FATAWA RAHEEMIYAH 7/393
📙AHSANUL FATAWA 4/338
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india